Zaroori Tha Lyrics

in

"Zaroori Tha" Song Details:

Album/Label: Back 2 Love (2014)
Singer(s):Rahat Fateh Ali Khan
Lyricist(s):Imran Raza
Composer(s):Sahir Ali Bagga
Music Director(s):Sahir Ali Bagga
Genre(s):Sad
Music Label:© Universal Music
Starring:Gauhar Khan, Kushal Tandon
Release on:9th June, 2014

Zaroori Tha Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

lyricsbogie.com
Lafj kitne hi tere
Pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri
Khat mera jalayaa hoga
Tune jab phool kitaabon
Se nikale honge
Dene waala bhi tujhe
Yaad toh aaya hoga

Teri aankhon ke dariya
Ka utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ke hum
Dono tabah pe arzoo karte
Magar phir aarzuon
Ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya
Ka utarna bhi zaroori tha

Batao yaad hai tumko woh
Jab dil ko churaya tha
Churayi cheez ko tumne
Khuda ka ghar banaya tha
Woh jab kehte the mera naam
Tum tasveer mein padhte ho
Mohabbat ki na maano
Toh daga karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai
Woh baatein thi mehez baatein
Kahin baaton hi baaton
Mein mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya
Ka utarna bhi zaroori tha

Wahin hai sooratein apni
Wahin main hoon wahin tum ho
Magar khoya huya hoon main
Magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein daga ki thi
Jo kaafir the so kaafir hain
Mili hai manzilein phir bhi
Musaafir the musaafir hain
Tere dil ke nikaale hum
Kahaan bhatke kahaan pahunche
Magar bhatke toh yaad
Aaya ki bhatakna bhi zaroori thi
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ke hum dono
Tabah pe arzoo karte
Magar phir aarzuon ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya
Ka utarna bhi zaroori tha.

Zaroori Tha Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.