Zardozi Lamhe Lyrics – Moin Sabri
Zardozi lamhe odh ke dil
Gham saare peechhe
Chhod ke dil behne
De hawaaon mein
Jo behna chaahta hai
Kehne de suroor mein
Jo kehna chahta hai
Naya nahi lekin
Naya lage yeh din
Naya nahi lekin
Naya lage yeh din
Zardozi lamhe odh ke dil
Koi kachchi umra ka
Dil mein jo malaal tha
Aaj kahin woh kho gaya
Khushi aur zindagi
Dono ek ho gayin
Toota ho jaise daayara
Jalne de jo lau dilon
Ki jalna chahti hai
Chalne de yun neend mein
Woh chalna chahti hai
Naya nahi lekin
Naya lage yeh din
Naya nahi lekin
Naya lage yeh din
Zardozi lamhe odh ke dil
Aankhon ki munder se
Dil ke aasmaan tak
Koi nahin hai teesra
Khwabon ki waadiyan
Khwaabon ke mor hain
Khwaabon ki hai aab o hawa
Khone de yun khwaab mein
Jo khona chahta hai
Hone de dhuan dhuan
Jo hona chahta hai
Naya nahi lekin
Naya lage yeh din
Naya nahi lekin
Naya lage yeh din
Zardozi lamhe odh ke dil
Khaali ho gaya hai dil
Bhar gayi hain dhadkanein
Saazish hai ya hai yeh saza
Chaal tez thi magar
Peechhe reh gaye kadam
Aakhir hai kya yeh maazra
Thagne de yun zindagi
Jo thagna chahti hai
Lagne de jo chot dil pe
Lagna chahti hai
Naya nahi lekin
Naya lage yeh din
Naya nahi lekin
Naya lage yeh din
Zardozi lamhe odh ke dil
Gham saare peechhe
Chhod ke dil behne de
Hawaaon mein jo
Behna chaahta hai
Kehne de suroor mein
Jo kehna chahta hai
Naya nahi lekin
Naya lage yeh din
Naya nahi lekin
Naya lage yeh din
Zardozi lamhe odh ke dil.