Zamana Kharab Hai (Episode 5) Lyrics – Bhanu Pratap Singh, Dominique Cerejo
Bade bhagya, manush tan pawa
Sur durlabh saddh granth nagawa
Sadhan dham moksh kar dwara
Paay na jenhi parlok sawara
Yeh zamaana kharaab hai,
Miyaan kaisaa mazaak hai,
Bande bande mein daag hai,
Miyaan kaisa mazaak hai,
Main naseehat kya doon,
Sab toh hain sayaane yahaan,
Phir bhi saaf saaf keh doon,
Sab kuch hai la la la la,
Andhi haveli hai dil, dil binaa pyaar ke,
Pinjar sa dheh jaayehgaa,
Zindagi talaashtaa phirtaa kahaan
Miyaan kaisaa mazaak hai,
Bande bande mein daag hai,
Miyaan kaisa mazaak hai,
Main hidaayat kya doon,
Sab hain manmaane yahan,
Sau ki ek baat keh doon,
Sab kuch hai la la la la,
Hai zindagi ek til, rooh ke gaal pe,
Manzar sa beh jaayehgaa,
Zindagi sambhaaltaa phirtaa kahaan
Yeh zamaana kharaab hai,
Miyaan kaisaa mazaak hai,
Bande bande mein daag hai,
Miyaan kaisa mazaak hai,
Baat baat pe leke
Ballam kaahe ko ad jaayeh,
Aisaa neik kamaayeh
Kyun duniyaa mein khalal pad jaayeh,
Tujh mein rehne rab aaya
Oh beghar kyun kehlaayeh,
Murakhpan mein kyun pagle
Tu aaj ko aag lagaayeh,
Saari padhaaee kis pipal ke ped pe taang aayaa,
Baant batore ke haaraa tab jaanaa kya paaya,
Kyun befazooli mein mann, mann chalaa haar ke,
Niras hi reh jaayeh na,
Tu khushi talaashtaa phirtaa kahaan
Yeh zamaana kharaab hai,
Miyaan kaisaa mazaak hai,
Bande bande mein daag hai,
Miyaan kaisa mazaak hai,
Main vasihat kya doon,
Sab mitaane aayeh yahan
Phir bhi ek raaz keh doon,
Sab kuch hai la la la la
Miltaa nahin aadmi, laakhon deedaar mein,
Jhonke sa beh jaayeh ga,
Khudh ko bigaadtaa phirtaa kahaan
Yeh zamaana kharaab hai,
Miyaan kaisaa mazaak hai,
Bande bande mein daag hai,
Miyaan kaisa mazaak hai,
Yeh zamaana kharaab hai,
Miyaan kaisaa mazaak hai,
Bande bande mein daag hai,
Miyaan kaisa mazaak hai,
Sochein…sochein…
Yeh zamaana kharaab hai
Sochein…