Zakham Jo Aapki Amanat Lyrics – Chitra Singh (Chitra Dutta)
Zakhm jo aapki inaayat hain
Is nishaani ko kyaa naam de hum
Zakhm jo aapki inaayat hain
Is nishaani ko kyaa naam de hum
Pyaar deewar ban ke reh gaya hai,
Is kahaani ko kya naam de hum
Zakhm jo aapki inaayat hain
Is nishaani ko kyaa naam de hum
Ek ehsaan kar gaye hum par
Aap ilzaam dhar gaye hum par,
Ek ehsaan kar gaye hum par
Aapki ye bhi meharbaani hain,
Meharbaani ko naam kya de hum
Zakhm jo aapki inaayat hain
Is nishaani ko kyaa naam de hum
Aap ko yun hi zindagi samjha,
Dhoop ko humne chaandni samjha
Aap ko yun hi zindagi samjha,
Dhoop ko humne chaandni samjha
Bhool hi bhool jiski aadat hain
Ik jawaani ko naam kya de hum
Zakhm jo aapki inaayat hain
Is nishaani ko kyaa naam de hum
Raat sapna bahaar ka dekha,
Din hua to gubaar sa dekha
Raat sapna bahaar ka dekha,
Din hua to gubaar sa dekha
Bewafa waqt bezubaan nikla,
Bezubaani ko naam kya de hum
Zakhm jo aapki inaayat hain
S nishaani ko kyaa naam de hum.