Yug Yug Tak Dukh Saha Lyrics – Sadhana Sargam
Yug yug tak dukh saha nahin
Kuch kha magar
Ab kahungi nahin
Main chhup rahungi nahin
Yug yug tak dukh saha nahin
Kuch kha magar
Ab kahungi nahin
Main chhup rahungi nahin
Suraj bhuja dungi main
Ghungata jala dungi main
Ye rasme mita dungi main
Ye ghungata jala dungi main
Bachpan se hi bas nari ne
Tayag ki shiksha payi hain
Char bund aansu hi aakhir
Iski kathin kamayi hain
Zinda aag mein jalne
Zinda aag mein jalne ko
Kal ram ne tha majbur kiya
Baith chita pe sita ne
Pawanta ka sabut diya
Koi mane ya na mane
Hai aaj bhi wahi fasane
Arey aaj bhi sita jalti hain
Kisi na kisi bahane
Bahane mita dungi main
Ghungata jala dungi main
Ye suraj bhuja dungi main
Ghungata jala dungi main
Chutki bhar sindoor pe
Jeevan de dena aasan nahin
Chutki bhar sindoor pe
Jeevan de dena aasan nahin
Jo mandi mein bikata ho wo
Nari ka bhagwan nahin
Roop na dekhe daulat dekhe
Jise kisi ka dard nahin
Manvata nilam kare jo
Sach kah doon wo mard nahin
Nari geeta ramayan
Nari puja ka darpan
Arey chhodke apni maryada
Jab ram banega ravan ravan
Jala duni main
Rasme mita dungi main
Ye suraj bhuja dungi main
Ghungata jala dungi main
Beti ki vidayi kya jane ky ajane
Jiske pap nahin zakhmi ho
Pir parayi kya janen kya jane
Sewa karne ko beti ki
Is se bada samman nahin
Kanya dan se badkar pavan
Jag mein koi dan nahin
Jag mein koi dan nahin
Nari hi beti bahna
Nari mamta ki mainna
Babul se bas beti mango
Mat mango tum gehana
Arey mat mango tum gehana
Bas lalach ki had ho li
Na lagao dulhan ki boli
Bas lalach ki had ho li
Na lagao dulhan ki boli
Varna durga banke jala doon
Main dhej ki doli doli
Jala duni main
Rasme mita dungi main
Ye suraj bhuja dungi main
Ghungata jala dungi main.