Yeh Zindagi Kuchh Bhi Sahi Lyrics – R. D. Burman
Oo ho ho ho
Ye zindagi kuchh bhi sahi
Par ye mere kis kam ki
Ye zindagi kuchh bhi sahi
Par ye mere kis kam ki
Jiske liye jite hai log
Jiske liye jite hai log
Bas hai kami us naam ki
Ye zindagi kuchh bhi sahi
Par ye mere kis kam ki
Ho jisko nahi hai arman koi
Kaisi jawani hai ye
Jisko nahi hai arman koi
Kaisi jawani hai ye
Ho jiska nahi hai unwan
Koi aisi kahani hai ye
Ho na hai khabar aagaz ki
Na hai khabar aagaz ki
Na hai khabar anzam ki
Ye zindagi kuchh bhi sahi
Par ye mere kis kam ki
Sawan barsata raha
Pyasa raha mai, meri gali me
Sawan barsata raha
Mele me jaise koi akela
Aise tarsata raha
Puchho na ye kaise bhala
Puchho na ye kaise bhala
Maine subah se sham ki
Ye zindagi kuchh bhi sahi
Par ye mere kis kam ki
Ho dil bahalane ko likhte hai
Dil ke kisse fasano me log
Dil bahalane ko likhte hai
Dil ke kisse fasano me log
Ho rakhate hai hire moti saza ke
Apni dukano me log
Bazar me kimmat hai kya
Bazar me kimmat hai kya
Tute huye is zham ki
Ye zindagi kuchh bhi sahi
Par ye mere kis kam ki
Jiske liye jite hai log
Jiske liye jite hai log
Bas hai kami us naam ki.