Yeh Mehandee Ke Bute Lyrics – Alka Yagnik, Babul Supriyo, Udit Narayan
Hoo yeh mehandi ke
Bute inke rang anokhe
Yeh mehandi ke bute
Inke rang anokhe
Ek bar yeh rang lag jaye
Sari umar naa chute
Mehandi lagau kis nam ki
Radha toh bani hain bas sham ki
Mehandi lagau kis nam ki
Radha toh bani hain bas sham ki
Yeh mehandi ke bute
Inke rang anokhe
Sham ki bansi jab bhi baji hain
Radha ke mann me prit jagi hain
Sham ki bansi jab bhi baji hain
Radha ke mann me prit jagi hain
Ho o o ghunghat me
Radha sharmaye
Dekho hoga milan
Yeh aas lagi hain
Aati jati har ek dhadkan
Tumse yahi kahegi
Khushiya hain sari tere nam ki
Radha toh bani hain bas sham ki
Mehandi lagau kis nam ki
Radha toh bani hain bas sham ki
Radha ke mann ki radha hi jane
Sham naa aaye bansi bajane
Radha ke mann ki radha hi jane
Sham naa aaye bansi bajane
Lagta hain ke vrindavan
Me abb naa ras rachegi
Abb yeh kahani kis kam ki
Radha toh bani hain bas sham ki
Abb yeh kahani kis kam ki
Radha toh bani hain bas sham ki
Sirf akeli radha jali hain
Ho prem agan kuchh aisi lagi hain
Sirf akeli radha jali hain
Lagta hain ke aaj bhi
Radha sham se nahi milegi
Phir se judayi subah sham ki
Radha toh bani hain bas sham ki
Phir se judayi subah sham ki
Radha toh bani hain bas sham ki
Yeh mehandi ke bute
Inke rang anokhe
Ek bar yeh rang chad jaye
Sari umar naa chute.