Yeh Duniya Do Rangi Hai Lyrics – Mohammed Rafi
Ye duniaya do rangi hai
Ek taraf se resam odhe
Ek taraf se nangi hai
Ye duniaya do rangi hai
Ek taraf andhi daulat ki
Pagal hai aish parasti
Ek taraf andhi daulat ki
Pagal hai aish parasti
Ek taraf jism ki kimat
Roti se bhi sasti
Ek taraf hai sona chandi
Ek taraf hai sona chandi
Ek taraf chorangi hai
Ye duniaya do rangi hai
Adhe muh par noor barasta
Adhe muh par tire
Adhe muh par noor barasta
Adhe muh par tire
Adhe tan par kodh ke dhabbe
Adhe tan par heeere
Adhe ghar me khushali hai
Adhe ghar me khushali hai
Adhe ghar ki tangi hai
Mathe upar mukut sajaye
Sar par dhoye ganga
Mathe upar mukut sajaye
Sar par dhoye ganga
Daye hath se biksha mange
Baye se chanda
Ek taraf bhandar chalaye
Ek taraf bhandar chalaye
Ek taraf bhikh mangi hai
Ye duniaya do rangi hai
Ye duniaya do rangi hai
Ek taraf se resam odhe
Ek taraf se nangi hai
Ye duniaya do rangi hai
Ye duniaya do rangi hai.