Ye Shama To Jali Lyrics – Mohammed Rafi
Ye shama to jali roshni ke liye
Is shama se kahin aag lag jaaye to
Ye shama kya kare
Ye shama to jali roshni ke liye
Is shama se kahin aag lag jaaye to
Ye shama kya kare
Ye hawaa to chali saans le har koyi
Ghar kisi kaa ujad jaaye aandhi mein to
Ye hawaa kya kare
Chal ke poorab se thandi hawaa aa gayi
Chal ke poorab se thandi hawaa aa gayi
Uth ke parwat se kaali ghataa chhaa gayi
Ye ghataa to uthi pyaas sabki bujhi
Aashiyaan pe kisi ke girin bijliyaan to
Ye ghataa kya kare
Ye shama to jali roshni ke liye
Ho ho ho
Poochhtaa hoon main sabse koyi de jawaab
Nakhudaa ki bhala kya khata hai janaab
Naakhudaa le ke saahil ke jaanib chalaa
Doob jaaye safinaa jo manjhdhaar mein to
Naakhuda kya kare
Ye shama to jali roshni ke liye
Wo jo uljhan si tere khayaalon mein hai
Wo jo uljhan si tere khayaalon mein hai
Wo ishaara bhi mere sawaalon mein hai
Ye nigaah to mili dekhne ke liye
Par kahin ye nazar dhokhaa khaa jaaye to
Ye nigaah kya kare
Ye shama to jali roshni ke liye
Is shama se kahin aag lag jaaye to
Ye shama kya kare
Hmm hmm.