Ye Duniya Hai Usi Ki Lyrics – Kishore Kumar, Manna Dey, Usha Mangeshkar
Ye dunia hai usi ki jo use jhukata hai
Jamana bhi usi ke nam ko dohrata hai
Koi nadan jab tufan se takrata hai
Wo dusman aap apni jan ka ban jata hai
Jo takat war ke aage sar nahi jhukata hai
Wo hai ek diwana use kya samjhana
Wo hai ek diwana use kya samjhana
Ye dunia hai usiki shan jiski nyari hai
Usi ka nam leti kaynad sari hai
Wahi ek aisi takat hai jo sabpe bhari hai
Kisi ne ki mitane ki hame tyari hai
To uska sar jhukane ki hamari bari hai
Jara dil thamna hua hai samna
Jara dil thamna hua hai samna
Hamesha jo bhi takat ke
Nashe me chur hota hai
Hazaro pe sitam karke hi wo mashur hota hai
Shamya jiske sine me khuda na nur hota hai
Kisi takat ke aage wo nahi majbur hota hai
Khuda ko bhul kar insan ko magrur hota hai
Magar hona wahi hai jo use manjur hota hai
Ye dunia hai usiki shan jiski nyari hai
Usi ka nam leti kaynad sari hai
Khadi ho maut jab sar pe
To allah yad aata hai
Jise marna hai wo allah ko pyara ho jata hai
Hamara samna karne ki jo himmat dikhata hai
Wo is dunia se jata hai
Hamare khof se sara jamana thar thararta hai
Hamare hath se koi na bach ke jata hai
Ye dunia hai usi ki jo use jhukata hai
Jamana bhi usi ke nam ko dohrata hai
Koi nadan jab tufan se takrata hai
Wo dusman aap apni jan ka ban jata hai
Jo takat war ke aage sar nahi jhukata hai
Wo hai ek diwana use kya samjhana
Wo hai ek diwana use kya samjhana
Maut ki dhamki jo deta
Wo khud marne se darta hai
Aag se khelne wala aag me jal ke marta hai
Tere mathe pe to bujdil
Jhalak aaya pasina hai
Tujhe malum kya tujhko jara si der jina hai
Kise malum kiski maut kiske hath honi hai
Teri kismat me jo likhi hai wahi bat honi hai
Faisla karna hai mera samna
To maidan me aaja
Karega samna mera bada hai hausla tera
Abhi tak har kadam me
Tujne mujhse mat khai hai
Aaj maine sare mahfil maine teri gardan jhukayi hai
Ye dunia ye dunia
Ye dunia hai usiki shan jiski nyari hai
Usi ka nam leti kaynad sari hai
Wahi ek aisi takat hai jo sabpe bhari hai
Kisi ne ki mitane ki hame tyari hai
To uska sar jhukane ki hamari bari hai
Jara dil thamna hua hai samna
Jara dil thamna hua hai samna.