Yaad Hai Pancham Lyrics – Bhupinder Singh, Gulzar (Sampooran Singh Kalra), Mitali Singh
Yaad hai baarishon ka din pancham
Yaad hai baarishon ka din pancham
Jab pahadi ke neeche waadi mein
Dhundh se jhaank kar nikalti hui
Rail ki patriyaan guzarti thi
Dhundh mein aise lag rahe the hum
Jaise do paudhe paas baithe ho
Aur mere har khat mein liapte
Raat padi hain raat ujhalo
Mera musafir humm..mere musafir
Uss musaafir ka zikr karte rahe
Jisko aana tha pichle shab lekin
Jiske aumad ka waqt talta raha
Der tak patriyon par baithe hu
Rail ka intazaar karte rahe
Rail aayi na uska waqt hua
Aur tum yun hi do kadam chalkar
Dhundh par paanv rakh ke chal bhi diye
Main akela hoon dhundh mein pancham
Main akela hoon dhundh mein pancham
Main akela hoon dhundh mein pancham
Main akela hoon dhundh mein pancham
Main akela hoon dhundh mein pancham
Main akela hoon dhundh mein pancham.