Woh Ban Sanwar Kar Chale Hein Lyrics – Pankaj Udhas
Woh ban sanwar ke chale hain ghar se
Woh ban sanwar ke chale hain ghar se
Hain khoye khoye se bekhabar se
Dupatta dhalka hua hai sar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Woh ban sanwar ke chale hain ghar se
Kabhi jawani ki bekhudi mein
Jo ghar se bahar kadam nikaalo
Sunahere gaalon pe meri mano
Tum ek kala sa til sajaa lo
Badan ka sona chura le saara
Koi nazar uth ke kab kidhar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Yeh narm-o-naazuk haseen se lab
Ke jaise do phool ho kanval ke
Yeh gore mukhade pe laal rangat
Ke jaise holi ka rang chhalake
Sambhaalo in lambi chotiyon ko
Lipat na jaaye kahin kamar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Woh ban sanwar ke chale hain ghar se
Hain khoye khoye se bekhabar se
Dupatta dhalka hua hai sar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Woh ban sanwar ke chale hain ghar se
Kahan milegi yahan mohabbat
Yeh shishe jaisaa badan tumhara
Meri dua hai rahein salaamat
Tumhare sapnon ki nanhi kaliya
Bachi rahein doop ki asar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Woh ban sanwar ke chale hain ghar se
Hain khoye khoye se bekhabar se
Dupatta dhalka hua hai sar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Khuda bachaaye buri nazar se
Khuda bachaaye buri nazar se.