Vande Mataram Lyrics – Badshah, Daler Mehndi, Divya Kumar, Tanishka Sanghvi
Ik tera naam hai saacha ho..
Ik tera naam hai saacha
Mann meri aan baacha
Bas naam tera maa ho..
Ek pehchan meri tu hi,
Jind jaan meri tu hi,
Jahan mera maa..
Ho..tujh pe vaar na, sau waari jaan main
Tujh pe vaar na, sau waari jaan main
Tere qurbaan, meri maa
Vande mataram, vande mataram
Vande mataram, vande mataram
Aa gayi ghadi hai dekho sabse badi
Mujhse bas do kadam pe, dekho jeet khadi
Haan mujhe kab se intezaar tha,
Aaj ki shaam ka ab dekho kya karta hai
Ye banda hindustan ka
Jo kisi ke bhi aage jhuka nahi,
Haan main hoon uss desh ka
Tu baith ke le nazara,
Scrabble aur base ka
Seedha chaloon,
Ya chaloon dhaai dhaai, chaal main
Khel mera hoga ye, dekh lambi race ka
Mitti ka karz hai, main mar ke bhi chukaunga
Tujhe mitti kar doonga,
Ya phir main mitti mein mill jaunga
Jo bhi kaha tha, wo main karke dikhaunga
India se hoon, khaali haath nahi jaaunga
Main jam ke pakad jhaad doonga,
Tujhko main ukhaad doonga
Jahan se tu aaya hai na,
Wahin tujhe gaad doonga
Teri hi zameen pe aaj,
Tujhe hi pachhaad doonga
Jhanda india ka bete, gaad doonga
Jeetoon ya haaroon, mujhe koi parwah nahi
Tumko main dikhaaun, mujhe koi parwah nahi
Maa hi mera rab hai meri,
Maa hi mera peer meri
Maa ke pairon ke alawaa, koi dargah nahi
Naachunga naachunga mujhko fitoor hai,
Naachunga naachunga dil majboor hai
Aaj ki shaam meri maa ke hai naam
Meri maa mujhe dekhegi, naachna zaroor hai
Jeetoon ya haaroon mujhe naachna zaroor hai
Meri maa mujhe dekhegi, naachna zaroor hai
Naachna zaroor hai, mujhe naachna zaroor hai
Maa meri mujhe dekhegi, naachna zaroor hai
Rang kesar soora waaliya
Rang sabz khili phool kaariya
Ho rang teenon jaan se pyaaryaan..
Rang teenon jaan se pyaariyaan
Rang teenon jaan se pyaariyaan
Rang meri maayi ka,
Rang sachchai ka, har achchai ka hai maa
Rang teri reet ka, rang teri preet ka
Rang teri jeet ka hi chhaaye chhaaye
Kaise main chupawaan, tera ehsaan
Maayi teri chunariya lehraaye
Jab tak mujh mein hai zara si jaan
Maayi teri chunariya lehraaye
Ik tera naam hai saacha, ho..
Vande mataram, vande mataram
Vande mataram, vande mataram
Sasyashyaamalaam maataram vande
Sujalaam suphalaam, malayaaj sheetlaam
Sasyashyaamalaam maataram vande
Sujalaam suphalaam, malayaaj sheetlaam
Sasyashyaamalaam maataram vande
Shubhrajyotsnaa pulakitayaaminiim
Pullakusumita drumadala shobhiniim
Suhaasiniim sumadhura bhaashhiniim.