Tumhe Husn De Ke Lyrics

in

“Tumhe Husn De Ke Lyrics” is a Hindi song from the Indian film Jab Se Tumhe Dekha Hai. The song has been sung by Asha Bhosle, Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi and Prabodh Chandra Dey (Manna Dey). The music of the song is composed by Dattaram Wadkar and the lyrics are penned by Anand Bakshi. The Hindi film is directed by Kedar Kapoor and stars Pradeep Kumar, Geeta Bali, Agha, Shammi Kapoor, Vijayalaxmi, Dulari, Sunder, Shashi Kapoor, Mohan Choti and Tun Tun.

"Tumhe Husn De Ke" Song Details:

Movie: Jab Se Tumhe Dekha Hai
Singer(s):Asha Bhosle, Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi, Manna Dey
Lyricist(s):Anand Bakshi
Composer(s):Dattaram Wadkar
Music Director(s):Dattaram Wadkar
Genre(s):Qawwali
Director(s):Kedar Kapoor
Music Label:© Saregama
Starring:Pradeep Kumar, Geeta Bali, Agha, Shammi Kapoor, Vijayalaxmi, Dulari, Sunder, Shashi Kapoor, Mohan Choti, Tun Tun

Tumhe Husn De Ke Lyrics – Asha Bhosle, Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi, Manna Dey

Aaaa….
Tumhe husn de ke khuda ne
Sitamgar banaya banaya
Tumhe husn de ke khuda ne
Sitamgar banaya banaya
Tumhe husn de ke khuda ne
Sitamgar banaya banaya
Chalo is bahane tumhe bhi
Khuda yaad aaya ji aaya
Chalo is bahane tumhe bhi
Khuda yaad aaya ji aaya
Chalo is bahane
Tumhe bhi

Sitamgar nahi ho to
Rukh se ye parda hata do
Ji parda hata do hata do hata do
Ho oo oo
Jara apne chehre ki
Hum ko jhalak to dikha do
Aa aa

Apni aaho aaho me asar paida karo
Dard-e-dil dard-e-jigar paida karo
Baad me jalwe hamare dekhna
Pehle is kabil nazar paida karo

Aji dil ka jigar kya
Mohabbat ki nazar kya
Sar pathar pe takrao to
Us pe ho asar kya

Apni aaho aaho me asar paida karo
Dard e dil dard e jigar paida karo
Baad me jalwe hamare dekhna
Pehale is kabil nazar paida karo

Sitamgar nahi ho to rukh se
Ye parda hata do
Jara apne chehare ki hum ko
Jhalak to dikha do

Ager humne apne chahere se
Ye parda hataya
To kahte firoge diwano
Khudaya khudaya khudaya
To kahte firoge diwano
Khudaya khudaya khudaya

Tumhe husn de ke khuda ne
Sitamgar banaya banaya
Tumhe husan de ke khuda ne
Aaaa….

Jidhar dekhne se jale dil
Udhar tum na dekho
Aji udhar tum na dekho, na dekho,
Mager chain kaise ho tum ko
Ager tum na dekho

Mauj masti hai kinare ke liye
Dil machalta hai sahare ke liye
Husn aashik ki nazar ke samne
Aap aata hai nazare ke liye
Galat hai ye fasane
Kare hum sau bahane
Chhupe dil me
Tu bhi dekh le kya hai diwane

Mauj uthti hai kinare ke liye
Dil machalta hai sahare ke liye
Husan aashik ki nazar ke samane
Aap aata hai nazare ke liye

Jidhar dekhne se jale dil
Udhar tum na dekho
Mager chain kaise ho tum ko
Ager tum na dekho

Ye parwana aaya jab kabhi
Shamma ne bulaya
Bula ke jalaya
Jala ke kaha
Tu kyu aaya ji aaya
Bula ke jalaya
Jala ke kaha
Tu kyu aaya ji aaya

Chalo is bahane tumhe bhi
Khuda yaad aaya ji aaya
Chalo is bahane tumhe bhi

Jaha husan vale na honge
Vaha hum rahenge
Aji vaha hum rahenge
Rahenge, rahenge, rahenge
Yaha hum rahe to hamesha
Yahi gum rahenge

Ye gali ye rasta
Tum chhoad do
Ye zami ye aasman
Tum chhoad do
Is kadar humse
Paresan ho ager
Zahar kha lo ye
Jaha tum chhoad do

Kaware hum to jaha
Chhoade ye jaha bhi
Magar hum kya karenge
Aap ager nikale vaha bhi

Ye gali ye rasta
Tum chhoad do
Ye zami ye aasman
Tum chhoad do
Is kadar humse
Paresan ho ager
Zahar kha lo ye
Jaha tum chhoad do

Jaha husan vale na honge
Vaha hum rahenge
Yaha hum rahe to hamesha
Yahi gum rahenge

Kai bar aji tumne yu daraya
Daraya, daraya, daraya
Kaha roj marne ko lekin
Na mar ke dikhaya
Dikhaya, dikhaya
Kaha roj marne ko lekin
Na mar ke dikhaya

Tumhe husn de ke khuda ne
Sitamgar banaya banaya
Tumhe husan de ke khuda ne

Hamesha hasino se
Tumko sikayat rahi hai
Sikayat rahi hai
Rahi hai, rahi hai
Mager baat kya hai ki
Fir bhi mohabbat rahi hai

Husan valo ki jarurat hai kise
Aaji aap ho mere
Ye hasrat hai kise
Arey hum to apne
Ishq pe kurban hai
Tum hasino se
Mohabbat hai kise

Ye apne dil se puchho
Dil bhi jhut bole to
Bhari mehfil se puchho

Husan valo ki jarurat hai kise
Aaji aap ho mere
Ye hasrat hai kise
Arey hum to apne
Ishq pe kurban hai
Tum hasino se
Mohabbat hai kise

Aaji hum ko hasino
Tum se sikayat rahi hai
Magar baat kya
Hai ki sikayat rahi hai
Tumhe besahara dekha to
Apna banaya banaya
Mohabbat kaha thi
Hum to raham
Tumpe aaya ji aaya
Hum to raham
Tumpe aaya ji aaya

Chalo is bahane tumhe bhi
Khuda yaad aaya ji aaya
Tumhe husn de ke khuda ne
Sitamgar banaya banaya
Tumhe husan de ke khuda ne.

Tumhe Husn De Ke Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.