Tu Aas Ka Dipak Jala Lyrics – Mohammed Rafi
Jug jug se yeh bol raha hai
Dharti ko aakash jab tak
Tan mein saans hai bande
Hona nahi niraash
Tu aas ka dipak jala
Ke tera bhagwan karega bhala
Ke tera bhi ke tera bhi din aayega re
Andhera saara mit jaayega re
Tu aas ka dipak jala
Ke tera bhagwan karega bhala
Har dam rehata na andhera
Srishti ka niyam hai pyaare
Har dam rehata na andhera
Koi aisi raat na hoti
Hota nahi jis ka savera
Vishwaas ki jyoti jala
Vishwaas ki jyoti jala
Ke tera bhagwan karega bhala
Ke tera bhi ke tera bhi din aayega re
Andhera saara mit jaayega re
Tu aas ka dipak jala
Ke tera bhagwan karega bhala
Kashto se na jo ghabharaye
Phal usako mila karata hai
Kashto se na jo ghabharaye
Phal usako mila karata hai
Jab sau sau kaante chubhate
Tab phul khila karata hai
Dukh sukh ka yahi silsila
Dukh sukh ka yahi silsila
Ke tera bhagwan karega bhala
Ke tera bhi ke tera bhi din aayega re
Andhera saara mit jaayega re
Tu aas ka dipak jala
Ke tera bhagwan karega bhala
Dharti thi dhiraj wali
Sita ne kya na saha tha
Dharti thi dhiraj wali
Sita ne kya na saha tha
Apne jivan dukhda usne
Kya kisi se kaha tha
Maha rani tara mati pe
Kya kya vipadae padi thi
Maha rani tara mati pe
Kya kya vipadae padi thi
Aur dhany hai savitri jo
Yamraj se jaake adi thi
Aur dhany hai savitri jo
Yamraj se jaake adi thi
Tu unki yaad na bhula
Tu unki yaad na bhula
Ke tera bhagwan karega bhala
Ke tera bhi ke tera bhi din aayega re
Andhera saara mit jaayega re
Tu aas ka dipak jala
Ke tera bhagwan karega bhala.