Tora Manva Kyon Ghabraye Lyrics – Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Tora manwaa kyun ghabraaye re
Laakh deen dukhiyaare saare
Jag mein mukti paayen
He raam ji ke dwaar se
Tora manwaa kyun ghabraaye re
Laakh deen dukhiyaare praani
Jag mein mukti paayen
He raam ji ke dwaar se
Band huaa ye dwaar kabhi naa
Jug kitne hi
Jug kitne hi beete
Sab dwaaron par haarne waale
Is dwaare par
Is dwaare par jeete
Laakhon patit laakhon pachtaaye
Laakhon patit laakhon pachtaaye
Paawan hokar aaye re
Raam ji ke dwaar se
Tora manwaa
Tora manwaa kyun ghabraaye re
Laakh deen dukhiyaare praani
Jag mein mukti paaye
He raam ji ke dwaar se
Raam wo kaaj sanwaare
Raam wo kaaj sanwaare
Ho mahananda ho ke ahilya
Sab ko paar utaare
Sab ko paar utaare
Jo kankar charnon ko chhoo le
Jo kankar charnon ko chhoo le
Wo hi raah ho jaaye re
Ramji ke dwaare pe
Tora manwaa
Tora manwaa kyun ghabraaye re
Laakh deen dukhiyaare praani
Jag mein mukti paaye
He raam ji ke dwaar se
Na poochhe wo gyaan kisi ki
Na gun awgun
Na gun awgun jaanche
Wahi bhagat bhagwan ko pyaara
Jo har baani
Jo har baani baanche
Jo koyi shradda le kar aaye
Jo koyi shradda le kar aaye
Jholi bharkar jaaye re
Raam ji ke dwaar se
Tora manwaa
Tora manwaa kyun ghabraaye re
Laakh deen dukhiyaare praani
Jag me mukti paaye
He raam ji ke dwaar se.