Teri Baate Hi Sunane Aaye Lyrics – Ustad Ghulam Ali
Dost bhi dil hi dukhane aaye
Phool khilate hai to ham sochate hai
Tere aane ke zamaane aaye
Kya kahi phir koi basti ujadi
Log kyun jashn manaane aaye
So raho maut ke pahalu me farz
Neend kis waqt na jaane aaye
Tamaam umr tera
Intzaar hamne kiya
Is intzaar mein kis kis se
Pyaar hamne kiya
Koi milta hai to ab
Apna pata puchhata hun
Main teri khoj me tujhse
Bhi pare jaa nikala
Tod kar dekh liya
Aaina e dil tune
Teri surat ke siwaa
Aur bata kya nikala
Talaash e dost ko
Ik umr chaahiye ai dost
Ke ek umr tera
Intzaar hamne kiya
Daba ke kabr mein sab
Chal diye duaa na salaam
Zara si der mein kya ho
Gaya zamaane ko
Qamar zara bhi nahi
Tumako khauf e ruswaai
Qamar zara bhi nahi
Tujhko khauf e ruswaai
Ke chaandani mein chale
Ho unhe manaane ko
Tere khayaal mein dil
Shadama raha baraso
Tere huzur ise sog
Awaar hamne kiya
Ye tishnagi hai ke un se
Qarib rah kar bhi
Hafiz yaad unhe
Baar baar hamne kiya.