Tera Deedar Lyrics – Jaspinder Narula, Javed Ali
Deedar tera deedar
Kya hosh zamane ka us pyar ki hasrat mein
Hoon khud se begaani main yaar ki hasrat mein

Lafzo mein na mumkin haalat ye bayaan karna
Bat jaayena dil mera deedar ki hasrat mein

Deedar tera deedar ho jaaye bas tera deedar
Deedar tera deedar
Deedar tera deedar ho jaaye bas tera deedar
Ghum apna sanam maine teri yaado se baata hai
Is din ki yakeen par toh saanso ki rawaani bhi
Ye pal bhi mohabbat ki taqdeer mein aata hai
Mausam ye judaai ka dushwaar se kataa hai
Ghum apna sanam maine teri yaado se baata hai
Is din ki yakeen par toh saanso ki rawaani bhi
Ye pal bhi mohabbat ki taqdeer mein aata hai
Tadpi hoon fizaa banke main bahaar ki hasrat mein
Hoon khud se begaani main yaar ki hasrat mein
Hoon khud se begaani main yaar ki hasrat mein
Deedar tera deedar ho jaaye bas tera deedar
Deedar tera deedar
Deedar tera deedar ho jaaye bas tera deedar
Tere aane ka arsh dil ne kahin baar bharam toda
Tanhaai ne bhi tanhaa ik pal ko nahi chhoda
Khushiyo ke hazaaro rang bikhre hai mere dil mein
Rukh meri mohabbat ne meri jaanib hai moda

Din raat jali hoon main sringaar ki hasrat mein
Hoon khud se begaani main yaar ki hasrat mein
Hoon khud se begaani main yaar ki hasrat mein
Deedar tera deedar ho jaaye bas tera deedar
Deedar tera deedar ho jaaye bas tera deedar
Hai faasla kuch pal ka bas saamne hai manzil
Asaan zara karde hal karde meri mushkil
Deedar tera deedar
Trishna zindagi ko tu parai adaa karde
Mere maula mujhe apna tu pyar ata karde
Deedar tera deedar
Ab aur bhala kitna chahat aazmayege
Ab jaane kab teri soorat saamne aayegi
Deedar tera deedar
Ab tut chuki hoon main kahin haar na jaaun
Dam hi na nikal jaaye dil daar ki hasrat mein
Dam hi na nikal jaaye dil daar ki hasrat mein
Dam hi na nikal jaaye dil daar ki hasrat mein
Hoon khud se begaani main yaar ki hasrat mein
Hoon khud se begaani main yaar ki hasrat mein
Deedar tera deedar ho jaaye bas tera deedar
Deedar tera deedar ho jaaye bas tera deedar
Deedar tera deedar ho jaaye bas tera deedar
Deedar tera deedar ho jaaye bas tera deedar.