Tauba Tauba Tabaahi Lyrics – Kishore Kumar
Tauba tauba tabahi tabahi
Tauba tauba tabahi tabahi
Aji das paise ki darjan
Chane bikte hai
Aji das paise ki darjan
Chane bikte hai
Sone ke bhav matter milte hai
Kot ke daamo langot silate hai
Yaar bhi matlab
Se gale milte hai
Ajab hai duniya
Gajab hai zamana
Ke bul bul hai chup
Gaye ullu taranna
Suno hai bikau
Khuda ki khudai ki
Kisi ek smuggler
Ne boli lagayi
Tauba tauba
Tauba tauba tabahi tabahi
Tauba tauba tabahi tabahi
Achhi surat bhi zamane mein
Kidhar milti hai
Aji badi mushkil se
Ye badi mushkil se
Hasino se nazar milti hai
Aaj kalke ye hasi
Pehle jaise to nahi
Pehle jaise to nahi
Aaj kalke ye hasi
Aankh mein surma kaha
Hoth par pan kaha
Wo khadakti hui salwar
Meri jaan kaha
Wo dupatta na raha
Wo garara na raha
Aji aabaru dhakne ab
Koi sahara na raha
Chehre chehre pe likhhi
Behayai behayai
Tauba tauba tabahi tabahi
Tauba tauba tabahi tabahi
Ek chaprasi ne afsar se
Sikayat ki hai
Aapne aaj subah
Chhupke jo rishwat li hai
Sidha sidha mera hissa
Mujhe de do saheb
Warna karwa dunga nishah mein
Tujhe main gayab
Tumhari khursi kachhi
Mera eschool pakka
Ke tumho dukku tikki
Hukum ka main hu ekka
Maani jayegi meri gawahi gawahi
Maani jayegi meri gawahi gawahi
Tauba tauba
Tauba tauba tabahi tabahi
Tauba tauba tabahi tabahi
Puchha kyo aaj tera phool sa
Chehra hai khila
Zor se hans ke ye
Khush khabri sunai usne
Ke apne baap ki arthi
Sabere hi uthai usne
Pitaji jal ke ho gaye raakh
Lakin chhod gaye das lakh
Pitaji jal ke ho gaye raakh
Lakin chhod gaye das lakh
Udenge nit din ab gulchharre
Jane roz piyenge tharre
Honge raat raat ab mujre
Raja teri godi mein
Vina ban jaungi
Raja teri godi mein
Vina ban jaungi
Raja teri godi mein
Jab mere saiya ko bhukh lagegi
Jab mere saiya ko bhukh lagegi
Laddu paida aay hay
Laddu paida jalebi ban jaungi
Laddu paida jalebi ban jaungi
Raja teri godi mein
Vina ban jaungi
Raja teri godi mein
Ram ki dharti mein
Aisi agar aulad hogi
Kyu na matti mere
Is desh ki barbad hogi
Ab na maszid mein namaze hai
Na mandir mein bhajan
Kebare dance mein
Khoya hua hai saara watan
Kab koi tulsi aana na
Koi kabhi kabir aayega
Aur dam todte insan
Ko bacha jayenga
Na hoga mann kala
Na hoga dhan kala
Mit jayegi saari siyahi siyahi
Aur setan dega duhai duhai
Tauba tauba
Tauba tauba tabahi tabahi
Tauba tauba tabahi tabahi.