Tanha Tanha Lyrics – Penaz Masani
Tanha tanha dukh jhelenge
Mehfil mehfil gaayenge
Jab tak aansu
Jab tak aansu paas rahenge
Tab tak geet sunayege
Tanha tanha dukh jhelenge
Mehfil mehfil gaayenge
Tanha tanha…
Ham to apni kehte hai
Tum jo socho woh tum jaano
Ham to apni kehte hai
Der na karan ghar jaane mein
Warna ghar kho jaayenge
Der na karan ghar jaane mein
Warna ghar kho jaayenge
Tanha tanha…
Kin raaho se dur hai manzil
Dur hai manzil dur hai manzil
Kin raaho se dur hai manzil
Kon sa rasta mushkil hai
Ham bhi jab thkkar baithenge
Auro ko samjheynge
Ham bhi jab thkkar baithenge
Auro ko samjheynge
Tanha tanha…
Achhi surat wale saare
Achhi surat wale saare
Patthar dil ho mumkin hai
Ham to us din raay denge
Jis din dhoka khayenge
Ham to us din raay denge
Jis din dhoka khayenge
Tanha tanha…
Bachcho ke chhote haatho ko
Bachcho ke chhote haatho ko
Chand sitaare chhune do
Chaar kitabe padh kar yeh bhi
Ham jaise ho jaayenge
Chaar kitabe padh kar yeh bhi
Ham jaise ho jaayenge
Jab tak aansu
Jab tak aansu paas rahenge
Tab tak geet sunayege
Tanha tanha dukh jhelenge
Mehfil mehfil gaayenge
Tanha tanha.