Suraj Se Jo Kiran Ka Naata Lyrics

in

"Suraj Se Jo Kiran Ka Naata" Song Details:

Movie: Hungama (1971)
Singer(s):Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist(s):Anjaan
Composer(s):R. D. Burman
Music Director(s):R. D. Burman
Genre(s):Romantic
Director(s):S.M. Abbas
Music Label:© Saregama
Starring:Kishore Kumar, Vinod Khanna, Zeenat Aman
Release on:8th November, 1971

Suraj Se Jo Kiran Ka Naata Lyrics – Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

lyricsbogie.com
Suraj se jo kiran ka naata
Saagar se jo leharon ka
Wohi hai tera mera rishta
Tu jaane ya naa jaane
Phul mein jaise basati
Hai khushbu tu hai
Basa mere mann mein
Pyaar hai tera jivan mera
Tu maane ya na maane
Suraj se jo kiran ka naata

Pehali baar tujhe dekha toh
Hum aise sudh budh bhule
Pehali baar tujhe dekha toh
Hum aise sudh budh bhule
Ho jaise saawan ki pehali
Purwaayi dharati ko chume
Dharati se jo nil gagan ka
Saawan se purwaayi ka
Suraj se jo kiran ka naata
Saagar se jo leharon ka
Wohi hai tera mera rishta
tu jaane ya naa jaane
Suraj se jo kiran ka naata

Do din ki dekha dekhi mein
Yug yug ke manmeet mile
Do din ki dekha dekhi mein
Yug yug ke manmeet mile
Tum bole do bol ke mujhako
Janam janam ke geet mile
Taar se do jhankaar ka
Naata geeton se jo sargam ka
Suraj se jo kiran ka naata
Saagar se jo leharon ka
Wohi hai tera mera rishta
Tu jaane ya naa jaane
Suraj se jo kiran ka naata
Hmm hmm mm mm mm.

Suraj Se Jo Kiran Ka Naata Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.