Suraj Ke Jaisa Hai Lyrics

in

"Suraj Ke Jaisa Hai" Song Details:

Movie: Phool Aur Aag (1999)
Singer(s):Achal
Lyricist(s):Shyam Anuragi
Composer(s):Aditya-Sunny, Shaheen
Music Director(s):Aditya-Sunny, Shaheen
Genre(s):Sad
Director(s):T L V Prasad
Starring:Mithun Chakraborty, Jackie Shroff, Harish, Dalip Tahil, Mohan Joshi, Kishore Bhanushali, Adi Irani, Archana, Aruna Irani, Avtar Gill, Shyam Solanki, Shiva, Rakesh Bedi, Pramod Moutho, Disha Vakani
Release on:14th May, 1999

Suraj Ke Jaisa Hai Lyrics – Achal

lyricsbogie.com
Suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga
Yeh waqt kya pada tere samne
Zaher khula kaisa yeh teri chah mein
Teri hasi ko teri khushi ko
Waqt ne yu chhina kyu bata
Chanda ke jaisa hai tu ek aadmi
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga

Nafrat si sab ke dil mein
Paida yeh ho gayi hai
Samjhe na koi bhi yaha
Sach kya hai jhuth kya hai
Yeh kaisi dastan hai
Jaane na koi bhi yaha
Ek rab janata tune na ki khata
Phir bhi kyu mujrim
Tu ban gaya bata
Dil mein andhera
Kyu ho gaya bata
Suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga

Tere kadam sahi hai
Phir bhi galat bane hai
Duniya ki nazro mein
Tu raam roop hai jo
Kalyug mein aa gaya hai
Tu hai fasa uljan mein
Ek rab janata tune na ki khata
Phir bhi kyu mujrim
Tu ban gaya bata
Dil mein andhera
Kyu ho gaya bata
Suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga

Aankhon se tune apne
Amreet diya khushi ka
Dharm kiya karm kiya
Ha dharm raaj tu hai
Yamdharm raaj bole
Kyu tujhko yeh duniya
Ek rab janata tune na ki khata
Phir bhi kyu mujrim
Tu ban gaya bata
Dil mein andhera
Kyu ho gaya bata
Suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga.

Suraj Ke Jaisa Hai Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.