Sunoji Dulhan Ik Baat Lyrics – Kavita Krishnamurthy, Pratima Rao, Roop Kumar Rathod, Sonu Nigam, Udit Narayan
Sunoji dulhan ek baat sunoji,
Apne naye parivar se miloji,
Tumhe milayen sabse aaj,
Suno sunayen sabke raaz,
Hai, tumhe milayen sabse aaj,
Suno sunayen sabke raaz…
Pehle dulhan tum inse miloji,
Ghar ke mukhiya tumhare sasurji,
Jinke sar pe sukhon ka taj,
Dekho zara inka andaz,
Hai, jinke sar pe sukhon ka taj,
Dekho zara inka andaz.
Rampur ka baasi hoon main,
Ramkishan hai naam,
Seedhi saadhi boli meri,
Seedha saadha kaam,
Ho, jo bhi chaha maine,
Ho, rab se woh paaya maine,
Rampur ka baasi hoon main,
Ramkishan hai naam.
Des-bides ghoomkar aaya main bhai,
Ho, mehak gaon ki mitti ki na bisrai,
Wahi gud chana-doodh nashte mein bhaaye,
Ho, chhuri aur kaante se khana na aaye,
Itne par bhai…ho,
Itne par bhi hai nayee techniko,
Ko pyar se seekha maine,
Rampur ka baasi hoon main,
Ramkishan hai naam,
Seedhi saadhi boli meri,
Seedha saadha kaam…
Aao dulhan ab inse miloji,
Yeh hain tumhari sasu maji,
Ghar mein chalta inka raj,
Inka khaas hai ek andaz,
Hai, ghar mein chalta inka raj,
Inka khaas hai ek andaz.
Mera naam mu-mu-mu,
Mu-mu-mu aha mu-mu-mu,
Teen titliyan meri yaar,
Mujhe partiyon se hai pyar.
Wah-wah, wah-wah,
Wah-wah, wah-wah.
Shopping ho ya sabzi mandi,
Mol-bhaav ki pakki hoon,
Ek rupaiya keemat ho to,
Ek rupaiya hi main doon,
Lamba mera fasana hai,
Par beauty parlour jaana hai,
Lamba mera fasana hai,
Par beauty parlour jaana hai,
Mera naam mu-mu-mu,
Mu-mu-mu aha mu-mu-mu,
Pyara mujhe saaj singaar,
Umra ko goli maaro yaar.
Wah-wah, wah-wah,
Wah-wah, wah-wah…
Chalo dulhan ab aage badho ji,
Apne nanad – nandoi se miloji,
Biwi ko yeh na karen naraaz,
Aashikana hai andaz,
Hai, biwi ko yeh na karen naraaz,
Aashikana hai andaz.
Radhika ke daddy zara aana,
Darling – hukum farmana,
Kaisi hai yeh sari batana,
Darling – fida hai yeh deewana.
Mera sar hai dukhta,
Chalo main daba doon,
Hai khana pakana,
Kaho main paka doon,
Kahin ghoom aayen,
Jahaan bhi kaho tum,
Dinner lenge bahar,
Fikar na karo tum,
Baad mein ice cream bhi khilana,
Darling – jo chaho so mangana,
Meetha paan calcutta khilana,
Darling – zara sa muskurana,
Zara mera purse to uthana,
Darling – tumhara hai zamana.
Darling – tumhara hai zamana…
Chhote natkhat devar se miloji,
Bada rangeela inka mizaaj,
Shaitani inka andaz,
Hai, bada rangeela inka mizaaj,
Shaitani inka andaz.
Papa kehte hain bada naam karega,
Beta hamara aisa kaam karega,
Sach saare sapne – papa ke apne,
Karne chala main naujawaan.
Bholi soorat dil ke khote,
Baatein badi hain kaam hain chhote – kaam hain chhote,
Aath baje tak jo sote,
Bade kahaan log aise hote.
Jinki nazar mein ho koi sapna,
Raha na unko hosh apna – hosh apna,
Chit bhi hai inki : pat bhi hai inki,
Bin, pendi ke yeh lote,
Baatein badi hain, kaam hain chhote – kam hain chhote,
Bholi soorat dil ke khote,
Husn ke nakhre mote mote – mote mote…
Sunoji dulhan ab gaur karoji,
Apne bade devar se miloji,
Ma ke dil ke yeh sartaaj,
Sharmeela jinka andaz.
Ankhiyan milayen nahin,
Hai batiyaen nahin, banke rahen sadhu,
Ankhiyan milayen nahin,
Hai batiyaen nahin, banke rahen sadhu,
Kisi chehre ke kitaab ka roz,
Revision hai chalu,
Preeti ke path mein hain prembabu,
Chhupe rustam hain yeh prembabu.
Aise kya bane padhaiya,
Padh ke dekho ji saiyan,
Prem ke dhai akshar – ho,
Jab tak tum rahe bidesi,
Meri haalat thi aisi,
Jal bin jaise machhariya ho,
Mera piya ghar aaya ho ramji,
Mera piya ghar aaya ho ramji.
Puri ho na ho padhai, o papaji,
Kar do inki bhi sagai, o mummyji…
Pyari dulhan ab dil thamoji,
Kyon ke hai baari saiyaji ki,
Itna sa hai inka raaz,
Sab se alag inka andaz,
Hai, itna sa hai inka raaz,
Sab se alag inka andaz.
Khuli kitaab ke jaisi hai shaksiyat inki,
Kaun hai ghar mein aisa jisko inpe naaz nahin,
Suno dulhan batayen raaz tumko hum inka,
Yeh aaina hain – jiske dil mein koi raaz nahin.
Chanda mama se bhi pyare,
Hain yeh hamare mama,
Chanda mama se bhi pyare,
Hain yeh hamare mama,
Mami ji ke aa jaane se,
Humko bhool na jaana,
Pyare-pyare mamaji – jahaan se nyare mamaji,
Pyare-pyare mamaji – jahaan se nyare mamaji…