Suno Suno Hey Nar Lyrics – Manna Dey
Yeh katha purani hai
Yeh katha purani hai
Yeh katha purani hai
Janak raj ki beti pyari
Huyi swaymwar ki tyari
Ek dhanush aayega bhari
Ek dhanush aayega bhari
Jo bhi uski dor chadaye
Wahi siya ka piya
Usi ki sita rani hai
Usi ki sita rani hai
Yeh katha purani hai
Desh desh ke raja aaye
Besh banaye
Rawan aaya rawan aaya
Use dekh raja ghabraye
Ram lakshman raj kuwar
Matwale kuwar
Matwale kuwar matwale
Viswamitar guru
Bhi aaye dadi wale
Dekh dekh kar hasta hai
Rawan abhimani hai
Rawan abhimani hai
Yeh katha purani hai
Hath liye jaimala sita aayi
Sita aayi
Papi rawan ki
Aankhe lalchahi
Aankhe lalchai
Sita ne tab charo aur
Nazar daudayi ha
Nazar daudayi
Ram chandr ki chhav
Naino mein chhayi
Naino mein chhayi
Naino mein chhayi
Siya soch kar
Man hi man akulayi
Man hi man akulayi
Komal tan hai ram
Aur parwat si
Dhanush uthani hai
Komal tan hai ram
Aur parwat si
Dhanush uthani hai
Uthani hai uthani hai
Chali hai janki sita
Magan hai niya
Nayan sharmate hai
Aasman se phul baraste
Nar nari muskurate hai
Ram chandr ko sita rani
Ne pahani jai mala
Jai mala ho jai mala
Yeh do haridayo ke
Madhur milan ki
Amar kahani hai
Yeh katha purani hai
Yeh katha purani hai.