Suno Sunate Hai Lyrics – Asha Bhosle, Usha Mangeshkar
Suno sunate hai tumko hum
Ek dukh bhari kahani
Suno sunate hai tumko hum
Ek dukh bhari kahani
Mann tadpe kehte sunte
Aankhen barse paani
Suno sunate hai tumko hum
Ek dukh bhari kahani
Ravan ne kiya siya haran to
Ram ne phunki lanka
Ram ne phunki lanka
Mita na paaye raghuvar dekho
Apne mann ki sanka
Apne mann ki sanka
Insaano ki baat hai kya
Bhagwan ne dhoka khaye
Logo ki baate sun kar
Devi par dosh lagaya
Ram se kaisi bhul huyi yeh
Kaise huyi nadaani
Suno sunate hai tumko hum
Ek dukh bhari kahani
Ram ko jab vanvas mila
Sita ne saath na chhoda
Sita ne saath na chhoda
Sita chali akeli van mein
Ram ne nata toda
Ram ne nata toda
Nagar ka kachcha bachcha
Sita ki kismat pe roya
Kan ka patta patta
Sita ki halat pe roya
Royi bhatki bhukhi pyasi
Wo mehlo ki rani
Suno sunate hai tumko hum
Ek dukh bhari kahani
Sita par vishvas kiya par
Ram ne der lagayi
Ram ne der lagayi
Sita laaj ke mare iss
Dharti ke bich samayi
Dharti ke bich samayi
Iss jag mein hota
Aaya hai aisa hi anyay
Iss jag mein hota
Aaya hai aisa hi anyay
Abala nari bechari
Yuhi thukrayi jaaye
Yug bite par aaj bhi jag ki
Yahi hai reet purani
Suno sunate hai tumko hum
Ek dukh bhari kahani
Suno sunate hai tumko hum
Ek dukh bhari kahani
Mann tadpe kehte sunte
Aankhen barse paani
Suno sunate hai tumko hum
Ek dukh bhari kahani
Suno sunate hai tumko hum
Ek dukh bhari kahani.