Suno Sunate Aaj Tumhe Hum Lyrics – Mohammed Rafi
Suno sunate aaj tumhe hum
Nehru ji ki amar kahani
Nehru ji ki amar kahani
Chodi jisne is dharti par
Chodi jisne is dharti par
Karam yog ki amit nishani
Nehru ji ki amar kahani
Maa ne ratan jawahar paya
Moti ko ek lal mila
Athrah solwa si chaudah november
Suraj ke sang uday hua
Yug yug jiye mera raja
Sabke muh se nikli bani
Nehru ji ki amar kahani
Aayu abhi the pandarh keval
Chala vilayat padhne ko
Desh prem le lauta par wo
Rajniti me padhne ko
Padi gulami ki janjire
Tod dalne ki thani
Nehru ji ki amar kahani
Aazadi ka mol hai kya
Guru mantar ye gandhi ji se paya
Satya ahinsa shanti pyar aur
Manwata ko apnaya
Dekh kisano ka morcha
Ye hui angrejo ko hairani
Nehru ji ki amar kahani
Aazad tiranga lahraya
Apne hi hatho nehru ne
Lal kile par fahraya
Aayi kaam sahido ki
Aakhir me ek din kurbani
Nehru ji ki amar kahani
Sabka ho adhikar barabar
Parja tantar ki neev dhari
Panch sheel ki bani yojna
Naye kaam se bhari padi
Rakhwala ban majduro par
Rakhi sachi nigrani
Nehru ji ki amar kahani
Etam ke yug me bhi jisne
Shanti ka jhanda lahraya
Yudh nahi hoga apas me
Pyar se sabko samjhaya
Sabhi desho ne khule hariday se
Baat jawahar ki mani
Nehru ji ki amar kahani
Dharti kaapi aakash hila
Sahma samir yug badal gaya
Panch tatar se bana di ye
Panch tatav me sawar gaya
Pighal gaya himgir ka kaleja
Bilakh padi ganga maharani
Bilakh padi ganga maharani
Jis dharti ne apni god me
Nehru ko tha janam diya
Ab thi rakh us mitti ko de
Rin se uske urin hua
Amar katha ye gata rahega
Triveni ka paran pani
Triveni ka paran pani.