Subah Subah Lyrics – Bhupinder Singh
Subah subah ik khaab ki
Dastak par darwaaja khola
Dekha sarhad ke uss paar se
Kuchh mehmaan aaye hain
Aankhon se maayus saare,
Chehare saare sune sunaaye
Paanv dhoye haath dhulaaye,
Aangan mein aasan lagwaaye
Aur tandoor pe makki ke
Kuchh mote mote rot pakaaye
Potali mein mehmaan mere
Pichhale saalon ki fasalon ka
Gudh laaye the
Ghar mein koyi nahi tha
Aankh lagaakar dekha toh
Tandoor abhi tak bujha nahi tha
Aur honto par mithe gudh ka
Jaayaka abb tak chipak raha tha
Khaab tha shaayad khaab hi hoga
Sarhad par kal raat suna tha
Ek chali thi goli
Sarhad par kal raat suna hai
Kuchh khaabon ka khun huwa hai
Subah subah, subah subah
Subah subah ik khaab ki
Dastak par darwaaja khola
Subah subah,
Subah subah ik khaab ki
Dastak par darwaaja khola
Dekha sarhad ke uss paar se
Kuchh mehmaan aaye hain
Aankhon se maayus saare,
Chehare saare sune sunaaye
Subah subah, subah subah
Paanv dhoye haath dhulaaye,
Aangan mein aasan lagwaaye
Aur tandoor pe makki ke
Kuchh mote mote rot pakaaye
Potali mein mehmaan mere
Pichhale saalon ki fasalon ka
Gudh laaye the
Subah subah, subah subah
Aankh khuli toh dekha,
Ghar mein koyi nahi tha
Aankh lagaakar dekha toh
Tandoor abhi tak bujha nahi tha
Aur honto par mithe gudh ka
Jaayaka abb tak chipak raha tha
Khaab tha shaayad khaab hi hoga
Sarhad par kal raat suna hai
Chali thi goli
Sarhad par kal raat suna hai
Kuchh khaabon ka khun huwa hai
Subah subah, subah subah……