Sone Ka Chabutra Lyrics – Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Sone ka chabutra uspe nache mor
Sone ka chabutra uspe nache mor
Main bhi kya na nachu re pi sang
Bandhi prit ki dor jab bandhi prit ki dor
Sone ka chabutra uspe nache mor
Arey chandi ki payaliya gori kahe machave shor
Chandi ki payaliya gori kahe machave shor
Itna kyu itraye gori kon tera chit chor
Arey kon tera chit chor
Sone ka chabutra uspe nache mor
O ho kaisa chor kaha ki chori
Kaisa chor kaha ki chori
Bandhi usne jivan dori
Todke sab se nata re nata todke sab se nata
Arey dubli patli sawal gori
Pichha chhod ke kaha ho gori
Main to mara jata re jata main to mara jata
Tu nirmohi tu harjai, tu kapti tu chor
Sone ka chabutra uspe nache mor
Sone ka chabutra uspe nache mor
Joban zor umariya bali upar se deti hai gali
Kiske ghar ki chhori re
Chhori kiske ghar ki chhori
Tu to lage chor lfanga
Panghat pe karta hai danga
Khoti niyat tori re tori khoti niyat tori
Phir tu apna byah racha le mai launga aur
Chandi ki payaliya gori kahe machave shor
Sone ka chabutra uspe nache mor
Dekho dulha chala hai shadi karne ko
O dekho dulha chala hai shadi karne ko
Meri shotaniya pe hai chala marne ko
Ha chala marne ko
Dekho mujhsa na koi karega pyar
Yaad karoge mujhe bar bar
Yaad karoge mujhe bar bar
Waise mai bhi to,
Waise mai bhi to karta hu tujhko pyar
Lekin kab tak karunga tera intzar
Lekin kab tak karunga tera intzar
Chalo tu bhi na jita aur main bhi na hari
Dono ban jaye prem pujari
Dono ban jaye prem pujari
Arey tere mere pyar ka hoga gali gali me shor
Tere mere pyar ka hoga gali gali me shor
Sone ka chabutra uspe nache mor
Arey hum dono kyu na nache
Jab bandhi prit ki dor
Jab bandhi prit ki dor
Sone ka chabutra uspe nache mor
Sone ka chabutra uspe nache mor.