Socha Hai Lyrics – Farhan Akhtar
Asmaan hai nilaa kyun, paani geela geela kyun
Gol kyun hai zameen?
Silk mein hai narmeen kyun, aag mein hai garmi kyun
Do aur do paanch kyun nahin?
Ped ho gaye kam kyun, teen hai yeh mausam kyun
Chaand do kyun nahin?
Duniye mein hain jung kyun, behta hai laal rang kyun
Sarhadain hain kyun har kahin?
Yeh tumne kya kabhi
Socha hai…
Ke hai yeh kya sabhi
Socha hai…
Socha nahin to socho abhi
Behti kyun hai har nadi, hoti kya roshini
Barf girti hai kyun?
Dost kyun hai ruth te, taare kyun hai toot te
Baadlon mein bijli hai kyun?
Socha hai…
Yeh tumne kya kabhi
Socha hai…
Ke hai yeh kya sabhi
Socha hai…
Socha nahin to socho abhi
Sanaata sunai nahin deta
Aur hawaaein dikhai nahin deti
Socha hai kya kabhi, hota hai ye kyun?
Wooo oh hoooo… Wooo oh hoooo…
Wooo oh hoooo… Wooo oh hoooo…
Asmaan hai nilaa kyun, paani geela geela kyun
Gol kyun hai zameen?
Silk mein hai narmeen kyun, aag mein hai garmi kyun
Do aur do paanch kyun nahin?
Ped ho gaye kam kyun, teen hai yeh mausam kyun
Chaand do kyun nahin?
Duniye mein hain jung kyun, behta hai laal rang kyun
Sarhadain hain kyun har kahin?
Socha hai…
Yeh tumne kya kabhi
Socha hai…
Ke hai yeh kya sabhi
Socha hai…
Socha nahin to socho abhi
Socha hai…
Yeh tumne kya kabhi
Socha hai…
Ke hai yeh kya sabhi
Socha hai…
Socha nahin to socho abhi
Yeaa… ohzaa…