Shyam Salone Samne Aao Lyrics – K. J. Yesudas (Kattassery Joseph Yesudas), Usha Mangeshkar
Hari bhje so hari ka hoi
Shyam salone samne aao
Shyam salone samne aao
Darshan dekar laaj bachao
Darshan dekar laaj bachao
Shyam salone samne aao
Murat bin mandir hai sun
Pran bina jo kaya
Murat bin mandir hai sun
Pran bina jo kaya
Aisi bhool bhayi kya mose
Mukhda tumne chhupaya
In akhiyan ki in akhiyan ki
Pyaas bujhao pyaas bujhao
Shyam salone samne aao
Shyam salone samne aao
Mor mukut mukhda man bhavan
Adhar murliya sohe
Nat nagar ka roop suhavan
Nat nagar ka roop suhavan
Bhagtan ka man mohe
Murli manohar dars dikho dars dikho
Shyam salone samne aao
Shyam salone samne aao
Unch nich ka bhed bhaav
Kya tum bhi ab karte ho
Unch nich ka bhed bhaav
Kya tum bhi ab karte ho
Duniya jise bada samjhe
Uski jholi bharte ho
Badal gaye kyun badal gaye kyun
Mujhko bataao mujhko bataao
Shyam salone samne aao
Shyam salone samne aao
Sunte hai dukhiya jo tumhe pukaare
Door ho pal uske dukhde saare
Apnko itna bhi nahi rulaao
Ek baar phir prem ki bansi bajaao
Bhed bhaav ko is duniya se mitaao
Andhiyare mei phir prakash failao
Chhupe kaha ho
Chhupe kaha ho ab to samne aao
Samne aao samne aao.