Shuruwat Lyrics – Ikka
Paisa shohrat, ye dono musibat
Ye na sab ki kismat,
Ye buss uss ki kismat jisne ki hai zehmat,
Usspe rabb ki rehmat
Jisne ki hai mehnat, jisne ki hai mehnat
Home loan
Kahan say karrun shuruwat
Unn bheed say bharri tang galliyon say
Jahan per palla bada ghumma unn galliyon say
Ya rishtedaron ki gaaliyon say
Ya kaam say milli mujhe talliyon say
Ya kabhi toot k rone waali ankho say
Ya duniya jeet lene waali baaton say
Ya unn raaton say, jinn raat soyeya nahi
Or likh dala ithihas inn hathon say
Mein shuru say shuruwat karta hoon
Ik aam ghar ka mein ladka hoon
Kar dinn dungne raat chogni
Pariwar ko khush mein rakhta hoon
Apne dum pe bana apne dum pe kara
Jo bhi kiya maine liya kissi ka sahara nahi
Milta hai mokaa ek baar mera mokaa khone ka iraada nahi
Mein iss say kum uss say zayada nahi
Mein hoon pura kheal mein kheal ka peyada nahi
Hona greeb paida kismat,
Maroon bhi greeb toh milli zindgi ka fayeda nahi
Jo bhi karun mein karun mein seena thok k,
Kissi say mein darun kiya aisa koi kaam nahi
Jo bhi milli safalta uss safalta k piche mere pitaji ka naam nahi
Logg milte hai papa say kehte hai ladke ney
Kaam say patyal ji naam hai kiya
Sachh bolun toh iss say badd kar ikka k liye koi inaam nahi
Paisa shohrat, ye dono musibat
Ye na sab ki kismat,
Ye buss uss ki kismat jisne ki hai zehmat,
Usspe rabb ki rehmat
Jisne ki hai mehnat,
Jisne ki hai mehnat
Mushqil say mushqil ko hull kiya
Kiya aaj maine na kal kiya
Ki hai maine jee todd mehnat
Naa aaram ek pal kiya
Hui mujh say bhi kaafi dekho galtiyan
Galtiyon say apni seekh li
Jo, banayeya maine khudd hai banayeya
Na fella k hath maine bheekh li
Meri greebi thi mera motivation
Khraab thi situation
Maine halaat ko maat di, apni banayi kuch
Reputation
Maine khudd pe yakeen kiya
Kiya yakeen apni udaan pe
Himmat say kaam liya choadi na umeed
Nahi toh betha hota baap ki dukaan pe
Paisa shohrat, ye dono musibat
Ye na sab ki kismat,
Ye buss uss ki kismat jisne ki hai zehmat,
Usspe rabb ki rehmat
Jisne ki hai mehnat, jisne ki hai mehnat..