Sheikh Chillli Lyrics – Raftaar
Yeah, raftaar!
I’m sad yeh karna pada yaar
Sheikh chilli, sheikh chilli. Sheikh chilli
Sunn,
Tu bhai nahi yani ki tu bantai nahi hai
Tu bantai chhod tu to banda hi nahi hai
Chup rahna mera banta hi nahi
Mujhe sab dikhta hai meri band eye nahi hai
Tera bhai babu bhandai nahi hai
Woh sach bolta hai, sach jamta hi nahi hai
Tere mere jaise bohat kare kaam
Par scene me koi khaas zyada dhanda hi nahi
Sacchai yehi hai ki opportunity nahi
Sacchai yehi hai logon mein nahi unity
Ego hai pahaad pe
Yeh khud chane ke jhaad pe
Yeh khud ki mudke chaatein
Bolein duniya mujhko poojti
Main tera bhai, tera bhai
Jo tu nahi mera bhai
Toh tabahi hai, tabahi
Tu hoga high mere bhai
Jo tune sunke interview
Akal nahi chalayi
Kadak bann. Mat bann tu dhokla
Aakalmand nahi chhote tu to nikla dogala
Ladakpan mein bhi nikla not hard
Sadak band, aage band naaka tere road ka
Yaad dilaaun kya? Aye aye…
Yaad dilaun kya? Chhotte…
Yaad dilaaun kya?
Yaad dilaun tu milne ko aaya tha
Maine bulaaya tha, saath bithaya tha
Khaana khilaya tha
Wapas na bheja hotel mein sulaya
Bandra ke studio mein booking karaya
Purple haze studios
Naam yaad mein aaya kya?
Studio wala kiraaya tujhse bharaya kya?
Apne se pichhe bataaya kya?
Apne se neeche dikhaya kya?
Apne seene se lagaya tha
Kitni khushi se main gaana karaya tha
Dubb tera
Tab tera tewar alag tha
Tu ladka kadak tha
Mujhe aaya tujhpe bhi pyar ghazab ka
Toh likha tera aadha verse sadak ka
Aaja mukadama bithata hoon
Sadma laga hai to baad mein aata hoon
Tujhko to yaad hi hoga
Jo yaad nahi hai to yaad dilata hoon
Viral na hota se label ka rok nahi
Yeh line’on ka raaz tu kabhi nahi kholega
Maa ki kasam mujhe ab teri baari
Tu saccha musalman jhooth nahi bolega
Jhooth nahi bolega
Yeh ladka jhooth nahi bolega
Yeh kuch bhi nahi bolega
Thoda bhi nahi ab yeh mute hi ho lega
Dukh hai ke mujhko batana pada
Jatana nahi tha
Jataana padaa
Mere ghar pe tu dish kha ke
Mujhpe hi diss laaya
Mujhko bhi langar lagana pada
Naache tu flow mein, aye
Mere delhi ke show pe, aye
Maine sabse milaya tha, aye
Khud peechhe ka hoke
Mumbai mein show tha
Tu mera bro tha
Bro hi na hota to show pe na hota
Maine tujhe sirf ijjat dilayi hai
Bhai ko dukh hai ki ijjat pe aayi hai
Ijjat kama ke naa ijjat ganwa
Show pe jo the woh hain mere gawaah
Ungli daba chhote mutthi bana
Gussa tu kar par munh ko na sadaa
Bachpana, bachpana
Bachkaani baatein band kar zara sach bata
Paise ki baat hi nahi thi
Maine bola divine bada hai tu tab sada
Aaj ka sach yehi hai
Ki haal filhal uski ijjat badi hai
(badi hai)
Tu picture mein aa raha hai chhote
Naezy aur uspe woh picture bani hai
Sach, chalti hai gully gully gully gang
Tabhi to emi’ ki jali jali jali gand
Halki hai baatein, heavy bas slang
Kal ka hai tu, halka hai tera plan
Samajh mein aaya kya? Samajh mein aaya.
Magaj mein aaya? Magaj mein aaya.
Yaad mein aaya kya? Yaad mein…
Main tere baad mein aaya kya?
Chillane se bante gaane kya?
Chillane se bante shaane kya?
Yede chaale karke public ko banare ye
Public mein andhe ya kaane kya
Janta ki shamta hai mamta bhi degi
Aur jamta nahi hai to ghanta hi degi
Baaton ka matlab badal ke batane se
Soche ki jaldi se janta badhegi
Bhai se seedha tu chhote pe, nah!
Umar mein mujhse yeh chhote hain, haan!
Seekha maine tujhko apna banake ki
Apne hi kameene hote hain
Kameene hote hain
Apne hi kameene hote hain
Samajh mein aa gaya chhote mujhko
Samajh mein aa gaya!
Aye.. Haah!
Dhyaan se sun’na
Tu mujhe chhota bola
Kyun ki ego teri hurt hai
Main tujhe chhota bola
Kyunki 8 saal ka fark hai
Chhote tu shahrukh nahi
Shahrukh bas ek hai
Aur tu shahrukh sheikh nahi
Shahrukh snake hai
Hissssss
Sachai hai yeh gaana nahi diss
Samajh mein aaya kya.