Sheher Lyrics – Piyush Mishra, Swanand Kirkire
Aye ek waqt ki baat
Bataye ek waqt ki
Jab sheher hamara so gayo
Tho wo raaj gajab ki
Aye ek waqt ki
Baat bataye ek waqt ki
Jab sheher hamara so gayo
Tho wo raaj gajab ki
hey chahu aur sab
Ore disha se laali chaayi re
Jugni naache chunar
Odhe khoon nahayi re
hey chahu aur sab
Ore disha se laali chaayi re
Jugni naache chunar
Odhe khoon nahayi re
Sab oro gulaal put gayo sab oro mein
Heyyy sab oro gulaal put gayo vipda chaayi re
Jis raat gagan se khoon ki baarish aayi re
Jis raat sheher mein khoon ki baarish aayi re
Jis raat gagan se khoon ki baarish aayi re
Jis raat sheher mein khoon ki baarish aayi re
Sarabor ho gayo sheher aur
Sarabor ho gayi dhara
Sarabor ho gayo re jattha
Insaano ka bada bada
Sabhi jagat yeh pooche
Tha jab itna sab kuch ho riyo tho
To sheher hamara kahe
Bhaisaab aankh mood ke so riyo tho
To sheher yeh boliyo
Neend gajab ki aisi aayi re
Jis raat gagan se
Khoon ki baarish aayi re
Jis raat sheher mein
Khoon ki baarish aayi re
Jis raat sheher mein
Khoon ki baarish aayi re
Sanataa viraana khamoshi anjaani
Zindagi leti hai karwate toofani
Ghirte hai saaye ghanehre se
Rookhe baalon ko bikhere se
Badhte hai andhere pishaacho se
Kahin pe wo jooto ki khat khat hai
Kahin pe alawo ki chat pat hai
Kahin pe hai jhingur ki aawazen
Kahin pe wo nalke ki tap tap hai
Kahin pe wo kaali si khidki hai
Kahin wo andheri si chimni hai
Kahin hilte pedon ka jattha hai
Kahin kuch mundero pe rakkha hai
Re re re re re re re
Hoo hoo hoo hoo
Sunsaan galli ke nukaad pe jo koi kutta
Cheekh cheekh kar rota hai
Jab lamp post ki gandli pilli ghup roshni
Mein kuch kuch sa hota hai
Jab koi saaya khud ko
Thoda bacha bacha kar
Gum saayo mein khota hai
Jab pool ke khambho
Ko gaadi ka garm ujaala
Dheeme dheeme dhota hai
Tab sheher hamara sota hai
Tab sheher hamara sota hai
Tab sheher hamara sota hai
Hooo hooo
Jab sheher hamara sota hai
To maloom tumko haan kya kya hota hai
Idhar jaagti hai laashen zinda ho murda
Udhar zindagi khota hai
Idhar cheekhti hai dahua
Khairaati uss aspataal mein bifri si
Aaankh mein uske agle hi pal
Garam maas ka naram lothda hota hai
Idhar uthi har takraaren
Jismo ke jhatpat len den mein uchi si
Udhar ghaav se riste phoonko
Door guzarti aakhen dekhe rookhi si
Lekin usko leke rang birange
Mailon mein gun jaayi shoti hai
Nashe mein doobe sehan se
Khoonkhaar chutkulo ki paidaaish hoti hai
Adh nange jismo ki dekho
Lipi putti se lagi numaaish hoti hai
Laar tapakte chehro ko kuch
Shitaani karne ki khwahish hoti hai
Wo pooche hai hairaan hokar
Aisa sab kuch hota hai kab
Wo batalo to unko
Aisa tab tab tab tab hota hai
Jab sheher hamara sota hai
Jab sheher hamara sota hai
Jab sheher hamara sota hai
Jab sheher hamara sota hai
Hooo hoo hoo