Shehar Ke Dukandaro Lyrics – Nusrat Fateh Ali Khan
Shehar ke dukandaro
Karobaar e ulfat mein
Shehar ke dukandaro
Karobaar e ulfat mein
Sood kia jhiyan kia hai
Tum na jaan paonge
Shehar ke dukandaro
Shehar ke dukandaro
Dil ke daam kitne hain
Khwab kitne mehnge hain
Aur naqadejaan kia hai
Tum na jaan paonge
Sheher ke dukandaro
Sheher ke dukandaro
Phool kaise khilta hai
Aankh kaise jhukti hai
Saans kaise rukti hai
Koi kaise milta hai
Phool kaise khilta hai
Aankh kaise jhukti hai
Saans kaise rukti hai
Kaise reh nikalti hai
Kaise batein chalti hai
Kaise reh nikalti hai
Kaise batein chalti hai
Shouq ki zabaan kya hai
Tum na jaan paonge
Sheher ke dukandaro
Sheher ke dukandaro
Wasl ka sukoon kya hai
Hijr ka junoon kya hai
Husn ka fusoon kya hai
Ishq ke daroon kya hai
Wasl ka sukoon kya hai
Hijr ka junoon kya hai
Husn ka fusoon kya hai
Ishq ke daroon kya hai
Tum mareeze danai
Maslihat ke shaydai
Tum mareeze danai
Maslihat ke shaydai
Raahe gumrahan kya hai
Tum na jaan paonge
Sheher ke dukandaro
Sheher ke dukandaro
Zakhm kaise phalte hain
Dasg kaise jalte hain
Dard kaise hota hain
Koi kaisa rota hain
Zakhm kaise phalte hain
Dasg kaise jalte hain
Dard kaise hota hain
Koi kaisa rota hain
Ashq kya hai nale ki
Dasht kya hai chale kya
Ashq kya hai nale ki
Dasht kya hai chale kya
Aah kya fughan kya hai
Tum na jaan paonge
Sheher ke dukandaro
Sheher ke dukandaro
Janta hoon mein tum ko
Zouq e shaiyri bhi hai
Shaksiyat sayjane mein
Ik yeh mahiri bhi hai
Janta hoon mein tum ko
Zouq e shaiyri bhi hai
Shaksiyat sayjane mein
Ik yeh mahiri bhi hai
Phir bhi harf chunte ho
Sirf lafz sunte ho
Phir bhi harf chunte ho
Sirf lafz sunte ho
In ke darmiyaan kya hai
Tum na jaan paonge
Sheher ke dukandaro
Sheher ke dukandaro
Shehar ke dukandaro
Karobaar e ulfat mein
Sood kia jhiyan kia hai
Tum na jaan paonge
Shehar ke dukandaro
Shehar ke dukandaro.