Shaurya Kya Hai Lyrics – Shahrukh Khan
Shaurya kya hai?
Thartharti iss dharti ko raunti
Faujiyon ek paltan ka shoor
Ya sheme se asman ko cheerta hua
Banduko ki salami ka shoor
Shaurya kya hai?
Hari wardi per chamkte hue
Chand petal ki sitare
Ya sharad ka naam dekar
Andekhi kuch lakiro ki numais
Shaurya kya hai?
Door udate khamosh paride ko
Goliyon ko bhune dene ka ehsaash
Ya sholo ki barsat se pal bhar mein
Ek sehar ko shamshan bana dene ka ehsaash
Shaurya
Behti byaaas mein
Kisi ke garam khoon ka
Huale se shurkh ho jana
Ya anjani kisi jannat ki firak mein
Pal pal ka dojak bante jana
Barodo se dhunlaye is aasmaan mein
Shaurya kya hai?
Shaurya kya hai?
Shaurya
Shayad ek hoshla
Shayad ek himmat
Hamre bhaut ander
Majhab ke banaye dayere ko tod kar
Kisi ka hath tham lene ki himmat
Goliyonn ki betahasha shor ko
Appni khamoshi se
Chunauti de pane ki himmat
Marti maarti is duniya mein
Nihathe datte rehne ki himmat
Shaurya
Aane wale kal ki khatir
Apne hisse ki kaynat ko
Aaj bachalene ki himmat
Shaurya kya hai?