Shaam Ka Pehla Tara Lyrics

in

"Shaam Ka Pehla Tara" Song Details:

Album/Label: Dosti Ka Ek Samandar (2013)
Singer(s):Farooq Sheikh
Lyricist(s):Farooq Sheikh
Composer(s):Radhika Chopra
Music Director(s):Radhika Chopra
Genre(s):Ghazal
Music Label:© Living Media
Starring:Zehra Nigam, Indira Varma
Release on:15th November, 2013

Shaam Ka Pehla Tara Lyrics – Farooq Sheikh

lyricsbogie.com
Shaam ka pehla tara
Jab jhonka tezz hawao ka
Kuchh socha ke
Dheeme ghuzra tha
Jab tapte sooraj ka chehara
Udi chaadar mein lipta tha
Jab sukhi mitti ka seena
Saanso ki namee se jaaga tha
Hum log uss shaam ikathe the
Jis ne humein haskar dekha tha
Woh pehla dost hamara tha
Woh shaam ka pehla tara

Jo shayad hum dono ke liye
Kuchh waqt se pehale nikla tha
Jab jhil mill karta woh kamra
Sigret ke dhuen se dhundhla tha
Jab nashe maiki talkhi se
Har shakhs ka lehza meetha tha
Har fikra ki apni manzil thi
Har soch ka apna rasta tha
Hum log uss raat ikathe the
Uss raat bhi kyaa hungama tha

Main nehare bada raate aalam
Aur tum joake tamasha tha
Mozoe sukan jiss par humne
Raay di thi aur socha tha
Duniya ki badalti haalat thi
Kuchh aabohawa ka hissa tha
Jab sab logo ki aankhon mein
Kamre ka dhuaan bhar aya tha
Tab maine khidaki kholi thi
Tumne parda sarkaya tha
Jisne humein dukha se dekha tha
Woh pehla dost humara tha
Woh shaam ka pehla tara tha
Jo shayad humdon ke liye
Uss raat sehel tak jaaga tha
Woh shaam ka pehla tara tha.

Shaam Ka Pehla Tara Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.