Shaadi Ka Matlab Lyrics – Asha Bhosle, Kishore Kumar
Shaadi ka matlab hota hai kya
Humko hai yeh sara pata
Miya kamaye aur biwi khaye
Shaadi ka matlab hota hai kya
Humko hai yeh sara pata
Miya kamaye aur biwi khaye
Miya jab jaaye kama kar laye
To biwi pakaye miya ko khilaye
Tumko nahi abhi kuch bhi pata
Paas to baitho pyar se baat karo
Shaadi ka matlab hota hai kya
Tumko nahi abhi kuch bhi pata
Paas to baitho pyar se baat karo
Ke ghumta uthao nain to milao
Zara sharmao zara muskao
Shaadi ka matlab aur bhi hai
Tumne kiya kabhi gaur bhi hai
Sab kuch pet ki bhukh nahi
Is mein pyar ka daur bhi hai
Pyar jatati hai biwi
Apna ghar sansar chala ke
Jitne tarah ke pakte hai khane
Har pakwan khila ke
Masala khute achar wo daale
Miya na aaye to kya akele khale
Shaadi ka matlab hota hai kya
Tumko nahi abhi kuch bhi pata
Paas to baitho pyar se baat karo
Ke ghumta uthao nain to milao
Zara sharmao zara muskao
Pyar to aadat hai dil ki
Koi badal na payega
Roti bina yeh jee bhi le
Pyar bina mar jayega
Bhojan se bhi pyar karo
Tum dhyan dharo sehat ka
Sehat achhi nahi rahi to
Maza nahi ulfat ka
Sarso ka sak makhi ki roti
Machhali idali dhosa
Garma garm paka ke
Maine thehro abhi parosa
Garam hai khana na der lagana
Khud bhi khana hume bhi khilana
Shaadi ka matlab hota hai kya
Humko hai yeh sara pata
Miya kamaye aur biwi khaye.