Sagar Nahi Hai Toh Kya Hai Lyrics – Mohammed Rafi
Sagar nahi hai toh kya hai
Teri aankh ka nasha toh hai
Badal nahi hai toh kya hai
Badal nahi hai toh kya hai
Teri zulf ki ghata toh hai
Sagar nahi hai toh kya hai
Meri tamanna ki mehfil se
Tum yun uthake jaane lage ho
Aisi bhi kya berukhi ruth kar
Hamse aankhe churane lage ho
Churane lage ho
Mausam nahi hai toh kya hai
Mauka yeh pyaar ka toh hai
Sagar nahi hai toh kya hai
Teri ghani zulf ke saye mein
Char pal saath tere jiyenge
Sagar se roj pite hain aaj
Teri nazar se piyenge
Nazar se piyenge
Saki nahi hai toh kya hai
Ik shok dilaruba toh hai
Sagar nahi hai toh kya hai
Shayad yahi hai qayamat ki raat
Maan lene ko ji chaahata hai
Teri kasam aaj dil hi nahi
Jaan dene ko
Ji chahta hai ji chahta hai
Kaatil nahi hai toh kya hai
Kaafir teri ada toh hai
Sagar nahi hai toh kya hai
Sagar nahi hai toh kya hai.