Sabko Naach Nachata Lyrics – Manna Dey
Phir bhi nazar nahin jo aata
Sabko naach nachata
Phir bhi nazar nahin jo aata
Aisi duniya ko bananewala
Kaun hai wohi shyaam hai
Ghanshyaam hai
Ambar se paani barsaata
Patthar mein jo phool khilata
Aisi duniya ko banaanewala
Kaun hai wohi shyaam hai
Ghanshyaam hai
Mala ghumaane se woh
Nahi milta woh nahi milta
Bhasma lagane se woh
Nahi hilta woh nahi hilta
Jopadiyon me phool woh khilta
Phool woh khilta
Koi garib ke aansoo me milta
Aansoo mein milta
Wohi pita hai wohi mata
Wohi sabka bhaagya vidhata
Aisa sarjanhaara sabka
Pyaara kaun hai
Wohi shyaam hai ghanshyaam
Hai sabko naach nachata
Phir bhi nazar nahin jo aata
Aisi duniya ko bananewala kaun hai
Wohi shyaam hai ghanshyaam hai
Ek hai raja ek bhikhari
Kyun ek bhikhari
Ek achhut aur ek poojaari
Kyun ek poojaari
Yeh bhed paapi humne
Banaaya hai humne banaaye
Woh to sabhi ke hai tan me
Samaya man mein samaya
Sabko ek pyaarse seecha
Koi oonch na koi neecha
Aisa ek samaan samajhnewala kaun hai
Wohi shyaam hai ghanshyaam hai
Sabko naach nachaata
Phir bhi nazar nahin jo aata
Aisi duniya ko banaanewaala kaun hai
Wohi shyaam hai ghanshyaam hai
Radheshyaam hai ghanshyaam hai
Radheshyaam hai ghanshyaam hai.