Roye Dharti Roye Amber Lyrics – Jagjit Singh
Rote parbat saare
Jaane insaan kyun bane
Insaano ke hatyare
Andheri raat mein role
Geeta aur khuraan
Sulagato hindustaan
Re maaro pyaaro rajasthan
Kahin suhagan ban gayi vidhava
Mitta gayo maaru sindur
Pag pag saathe chalne waalo
Saathi ho gayo door
Dulhan ban jo khaab sajaye
Tut gaye pal mein saare
Mann ki muraat lash bani ab
Jeeye to kiske sahaare
Sulagato hindustaan
Re maaro pyaaro rajasthan
Kahin ujhad gaye hain ghar saare
Kahin ujhada hain dekho bachpan
Ab kaun sunayega lori
Bin maa ke ye kaisa bachpan
Iss aag se kaun bachaye
Har koi baitha hain darr se
Umeed nahi waapas aane ki
Soche jab nikale ghar se
Sulagato hindustaan
Re maaro pyaaro rajasthan
Yahan panchhio ki kil mil ne
Har subah phool khilaati hain
Yahan shaam taaro ko bulaake
Raat ki sej sajati hain
Yahan purwaai saawan jhule
Baat yahin sab karte
Boori nazar kiski hain watan pe
Majhab saare kehate hain
Sulagato hindustaan
Re maaro pyaaro rajasthan
Roye dharti roye amber
Rote parbat saare
Jaane insaan kyun bane
Insaano ke hatyare
Andheri raat mein role
Geeta aur khuraan
Sulagato hindustaan
Re maaro pyaaro rajasthan.