Rind Posh Maal Lyrics – Shankar Mahadevan
Phir zarra zarra mehkega
Khushboo ke mausam aayenge
Phir chinaar ki shaakhon pe
Panchhi ghar apna banayenge
In raahon se jaane waale
Phir laut ke waapas aayenge
Phir jannat ki galiyon mein
Sab log yeh naghma gaayenge
Rind posh maal gindane graaye lo lo
Rind posh maal gindane graaye lo lo
Rind posh maal gindane graaye lo lo
Sargam ke meethe meethe sur gholo
Rind posh maal gindane graaye lo lo
Ae aaya hoon main pyaar ka
Yeh naghma sunaane
Saari duniya ko ik sur mein sajaane
Sabke dilon se nafrat ko mitaane
Aao yaaron mere sang sang bolo
He rind posh maal gindane graaye lo lo
Ae aaya hoon main pyaar ka
Yeh naghma sunaane
Saari duniya ko ik sur mein sajaane
Sabke dilon se nafrat ko mitaane
Aao yaaron mere sang sang bolo
Rind posh maal gindane graaye lo lo
Aisa koi geet gaao
Dosti ka saaz chhedo
Dushmani ko bhool jaao
Jeet le jo sabke dil ko
Aisa koi geet gaao
Dosti ka saaz chhedo
Dushmani ko bhool jaao
Aao yaaron mere sang sang bolo
He rind posh maal gindane graaye lo lo
He rind posh maal gindane graaye lo lo
Rind posh maal gindane graaye lo lo
Rind posh maal gindane graaye lo lo
Sangeet mein hai aisi fuhaar
Pathjhad mein bhi jo laaye bahaar
Sangeet ko naa roke deewar
Sangeet jaaye sarhad ke paar
Sangeet mein hai aisi fuhaar
Pathjhad mein bhi jo laaye bahaar
Sangeet ko naa roke deewar
Sangeet jaaye sarhad ke paar
Ho sangeet maane naa dharm jaat
Sangeet se judi kaaynaat
Sangeet ki naa koi zubaan
Sangeet mein hai geeta quraan
Sangeet mein hai allah o raam
Sangeet mein hai duniya tamaam
Sangeet maane naa dharm jaat
Sangeet se judi kaaynaat
Sangeet ki naa koi zubaan
Sangeet mein hai geeta quraan
Sangeet mein hai allah o raam
Sangeet mein hai duniya tamaam
Toofanon ka bhi rukh modta hai
Sangeet toote dil ko jodtaa hai
Rind posh maal gindane graaye lo lo
Rind posh maal gindane graaye lo lo
Rind posh maal gindane graaye lo lo
Rind posh maal gindane graaye lo lo.