Ramkatha Lyrics – Sukhwinder Singh
Toh bholo siya pati
Ramchandra maharaj ki jai
Pavan sut hanuman ki jai
Jai ho
Suno suno ram katha yeh
Har legi sakal vyatha yeh
Dashrath ke sukh ki gaatha
Purshon mein jo uttam tha
Suno suno suno woh adhyaye
Jab purshottam shri ram ne
Lanka pe kar ke chadayi
Raavan ko dhool chatayi
Aur sita bhi wapas aayi
Suno suno suno sunaun
Kalyug mein satyug darshaun
Subh subh subh sandesh sunaun
Ram-siya ke gun main gaaun
Suno suno ram katha yeh
Har legi sakal vyatha yeh
Dashrath ke sukh ki gaatha
Purshon mein jo uttam tha
Purshottam ram jagat ke
Pavan putra ram bhakat the
Lacchman the dhaal se bhaari
Lanka pe hui chadayi
Phir ram ji ne apni
Ardhangani mata sita ko paaya
Purshottam ram jagat ke
Pavan putra ram bhakat the
Lacchman the dhaal se bhaari
Lanka pe hui chadayi
Toh bolo siya pati
Ram chandra maharaj ki jai
Lanka pe lankesh hara ke
Dekh teer shamseeron se
Chale ayodhya ram palat ke
Veeron se randheeron se
Adhron pe muskaan dhari
Bhuja mein apni maan bhara
Jai jai jai ram hui
Aur lanka mein lankesh mara
Bratha saath chale
Gaaon gaaon mein
Ram-siya ki baat chale
Jahan jahan se
Ram ki sena guzar rahi
Umad gumad ke
Jungle aaye aaj wahin
Shor machaye jashn manaye
Ram-siya ke darshan paaye
Jai jai jai jaikal bulaayein
Pag pag pe deep jalayein
Arrey suno suno ram katha yeh
Har legi sakal vyatha yeh
Dashrath ke sukh ki gaatha
Purshon mein jo uttam tha
Aur us ke baad sab mil kar
Ayodhya laut aaye
Khushi ke palchin uss pal beetay
Ek murkh jab bola aise
Ram hain keval
Lanka jeetay, lanka jeetay
Kya paaya hai sita ko
Ram ne paawan
Kya pawanta ko bhang
Kar gaya paapi raavan
Ram yeh sun ke reh gaye
Mann se reetay reetay
Agni pariksha de
Do bole paawan sitey
Agni pariksha
Asur dhara ne manwa seencha
Sita ne di agan pariksha
Achhayi ki jeet sunischit hoti hai
Sachaayi hi sabse menhga moti hai
Hua daam ko tha sir neecha
Safal ho gayi agan pariksha
Arrey safal ho gayi agan pariksha
Gad gad ho ram yun bole
Paawan se bhed yun khole
Satya aur prem kabhi na
Mrityu ke aagey dole
Suno suno ram katha yeh
Har legi sakal vyatha yeh
Dashrath ke sukh ki gaatha
Purshon mein jo uttam tha
Toh bolo siya pati
Ramchandra maharaj ki jai
Pawan sut hanuman ki jai, jai ho.