Raat Abhi Baaki Hai Lyrics – Jaani Babu Qawwal
Ooo ooo
Mere mehboob
Mere mehboob
Aaj ki raat na jaa
Raat abhi baaki hai
Maan le baat na jaa
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai ho
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Yeh raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Roz toh aati nahin
Ye jawaani ki ghadi
Beet na jaaye kahin
Ye jawaani ki ghadi
Beet na jaaye kahin
Ye suhaanaa hai samaa
Tu haseen hai main jawaan
Waqt gar beet gayaa
Main kahaan aur tu kahaan
Waqt gar beet gayaa
Main kahaan aur tu kahaan
Kisne dekhi hai ye kal
Kal ke waadon se nikal
Kal to aane ki nahin
Hum se ye chaal na chal
Kal to aane ki nahin
Hum se ye chaal na chal
Teri aur meri mulaaqaat
Abhi baaki hai eah
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai ho
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai eh
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Mera armaan hai tu
Mera imaan hai tu
Jaan kar haal mera
Phir bhi anjaan hai tu
Jaan kar haal mera
Phir bhi anjaan hai tu
Kuchh nahin tujhko khabar
Kaise hoti hai guzar
Tujh pe hota hi nahin
Meri baaton ka asar
Tujh pe hota hi nahin
Meri baaton ka asar
Dil agar dil se miley
Pyaar kaa phool khile
Hum koi gair nahin
Chhod ye shikwe giley
Hum koi gair nahin
Chhod ye shikwe giley
Zulfon ko khol de
Barsaat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai ho
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Chaand taaron ki qasam
Gham ke maaron ki qasam
Beqaraari na badhaa
Beqaraaron ki qasam
Khaadkaaron ki qasam
Naalah-zaaron ki qasam
Tu ne thhukraayaa jinhen
Un bechaaron ki qasam
In bahaaron ki qasam
In nazzaaron ki qasam
Pyaar badnaam na kar
Tujh ko pyaaron ki qasam
Besahaaron ki qasam
Tinka-naaron ki qasam
Meri bhi pyaas bhujaa
Pyaase dhaaron ki qasam
Raazdaaron ki qasam
Hoshiyaaron ki qasam
Tu ne na samjhaa jinhen
Un ishaaron ki qasam
Tu ne na samjhaa jinhen
Un ishaaron ki qasam
Mere armaanon ki
Baraat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai ho
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai re
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai ho
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai ho
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai ho
Raat abhi baaki hai
Baat abhi baaki hai.