Qurban Meri Jaan Lyrics

in

"Qurban Meri Jaan" Song Details:

Movie: Bijli Aur Toofan (1988)
Singer(s):Mohammed Aziz
Lyricist(s):Khalid Shareef
Composer(s):Anwar (Anwar - Usman), Usman (Anwar - Usman)
Music Director(s):Anwar (Anwar - Usman), Usman (Anwar - Usman)
Genre(s):Religious
Director(s):S R Pratap
Music Label:© T-Series
Starring:Hemant Birje, Sonika Gill, Sri Prada, Kader Khan, Sadashiv Amrapurkar, Raza Murad, Deva
Release on:1st June, 1988

Qurban Meri Jaan Lyrics – Mohammed Aziz

lyricsbogie.com
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Marta hai musalma,
Marta hai musalman mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par

Allah ne bkasha din noora ni khjana
Ek main nahi kahta hu ye kahta hai zmana
Allah ne bkasha din noora ni khjana
Ek main nahi kahta hu ye kahta hai zmana
Hote na mohammad to kaha hota thikana
Laya hu main iman mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par

Us kali kamli wale ka ek wakaya suno
Ishq ke rasul kahte kise hai zara suno
Mulke arab me ek tikha tuna bemisal
Tha uska dil rasul ki ulfat se malamal
Dorane jang chal chali dushmanan ne
Falayi ye khabar ke mohammad nahi rahe
Sunte hi is khabar ko preshan ho gayi
Ghar se nikal ke jang ke madan ko chali

Biwi ne raste mein kai logo ko dekha
Mere hujur kaise hai majme se ye puchha
Khamosh sab khade rahe aur koi na bola
Ek shkas ne jawab diya uski bat ka
Hajrat to khariyat se hai par hai buri khabar
Is jang mein tumhare shohar gaye gujar
Sunte hi is khabar ko kiya sabar aur parnam

Ek zakham kaya magar dil par phir bhi na ruki
Hajrat ko dekhne ke liye dodne lagi
Majma ek aur nazar aaya usko samne
Achhe to rasul hai lagi sab se puchhne
Khamosh sab khade rahe aur koi na bola
Ek shkas ne jawab diya uski bat ka
Hajrat to khariyat se hai par hai buri khabar
Is jang mein tumhara beta gaya hai mar
Sunte hi is khabar ko kiya sabar aur parnam

Itne mein usko dur nazar aa gaye nabi
Ek dam khushi se aapke kadmo pe gir padi
Pyare nabi ne sabar ki talkim ki use
Barish ho bharkato ki tujh par khuda kare
Aurat ne ye suna to kaha aye mere nabi
Jab aap slamat hai to phir gham nahi koi
Pyare hujur mere sabhi aap pe kurba
Hum aap ki umat mein hai hum par hai ye ehsa

Paigam hai sabhi ke liye aapka farma
Hai khatam dastan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Marta hai musalma,
Marta hai musalman mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par
Qurban meri jaan mohammad ke naam par

Qurban meri jaan
Mohammad ke naam par
Mohammad ke naam par.

Qurban Meri Jaan Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.