Pyar Mein Hum Ne Kya Paya Tha Lyrics – Alka Yagnik
Kaise batayein aur kisko batayein
Ki kaisi thi woh muskurahate
Jinme zindagi ki ujaaley the
Kaise thi woh nigaahe
Jo is dil ko chhoo leti the
Kaisee thi woh khamoshiya
Jo kahaniya sunati thi
Kaise they woh haath
Jo ab in haathon mein nahin hain
Chhodo yeh sab jaane do
Kya samjhaye kya kaisa tha
Jo bhi tha ab jaane do
Pyar mein humne kya paya tha
Chhodo yeh sab jaane do
Kya samjhaye kya kaisa tha
Jo bhi tha ab jaane do
Pyar mein humne kya paya tha
Nazare sab kehti sunti thi
Hum dono chup rehte the
Nazare sab kehti sunti thi
Hum dono chup rehte the
Do nazro ka aisa naata
Do nazro ka aisa naata
Toota tha kab jaane do
Pyar mein humne kya paya tha
Hum apne mann bhed batate
Par tumne kab dhyaan diya
Hum apne mann bhed batate
Par tumne kab dhyaan diya
Hoto ko humne jab sidaala
Hoto ko humne jab si daala
Aaye ho tab jaane do
Pyar mein humne kya paya tha
Sannate kehti hain mujhse
Jao jaa ke so jao
Sannate kehti hain mujhse
Jao jaa ke so jao
Koi nahin hain aane wala
Koi nahin hain aane wala
Beet gayi shab jaane do
Pyar mein humne kya paya tha
Pyar mein humne kya paya tha
Chhodo yeh sab jaane do
Kya samjhaye kya kaisa tha
Jo bhi tha ab jaane do
Ab jaane do
Ab jaane do.