Purana Yaar Lyrics – Pooja Gaitonde
Purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon
Watan mein woh jo kachcha ghar tha mera
Ab woh kaisa hain
Purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon
Watan mein woh jo kachcha ghar tha mera
Ab woh kaisa hain
Purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon
Jis din mitt ki deeware zara jo sar se unchi thi
Kahin aadi kahin tirchhi ke jo bilkul na seedhi thi
Thi un par ek chhat lohe ke be tip patron ki
Woh patre aandhiyaan chalti toh
Aksar udd bhi jaate they
Kabhi woh tut jaate they
Kabhi woh tut jaate they kabhi woh mud bhi jaate they
Naya ghar jaa nikal aata thaa baarish ke zamane mein
Ke ghehne maa ke beek jaate they
Us mausam suhaane mein
Purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon
Woh kachcha ghar hi tha apni zameen aur aasmaan apna
Ke jiski dhool mitti mein basaa thaa ek jahaan apna
Use maa lipati thi pot-ti thi aur sajati thi
Use maa lipati thi pot-ti thi aur sajati thi
Ke kachchey ghar ko woh nadaan ek
Jannat banati thi ke ek jannat banati thi
Purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon
Mohabbat thi use us ghar ke ek ek zarre zarre se
Mohabbat thi use us ghar ke ek ek zarre zarre se
Ki jiski dhool mein ek roz woh bhi ho gayi mitti
Zanaja jab utha toh sab daro deewar roye tha
Mila ek umra ka banvaas mujhko apne us ghar se
Jahaan bachpan guzara kat gaya usi ghar se
Woh kachcha ghar azizo ne mere
Ab bech daala hain
Khuda jaane wahaa kya ho gaya
Kya hone wala hain kya hone wala hain
Purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon
Watan mein woh jo kachcha ghar tha mera
Purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon.