Parvat Parvat Dera Dala Lyrics – Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Parwat parwat dera dala
Basti basti ghume
Talve shero ke shalaye
Sanpo ke muh chume
Tis baras pani me
Baithe rakhkar sir pe aag
Tab humko ye jan mila hai
Sab jage hai bhag
Dam chak, dam chak
Dam chak, chak dam
Chak dam, chak dam
Chak dam, chak dam
Lo dur se aaye hum
Puchho, puchho, puchho
Puchho, ha puchho na
Darna kya ghabarana kya
Arey jogi se sharmana kya
Puchho, puchho
Arey puchho
Chhaka khelu sata aaye
Dua khelu aaye panja
Arey har har ke dekho
Baba hone laga sar ganja re
Bolo kab tak dhir ladogi
Beta jab tak kalas badegi
Chak dam, chak dam
Chak dam, chak dam chak dam
Karja manga chori ki
Kuchh jewar bartan beche
Lekin jab jab dav lagaya
Lekin jab jab dav lagaya
Rah gaya ghoda pichhe
Mera ghoda baba kab aayega
Jab tera takta ho jayega
Dam chak, dam chak, dam chak
Chak dam, chak dam
Chak dam, chak dam chak dam
Roj ke pani se baba ab
Aa gaya nak me dam
Badal kab barsaega tu
Badal kab barsaega tu
Chhara wiski ram pine
Ka maja kab aayega
Pine ka maja kab aaye
Jab lokap me tu jayega
Dam chak, dam chak
Dam chak, chak dam
Chak dam, chak dam
Chak dam, chak dam
Aansu ki do bunde nikal
Duniya so tufan uthaye
Aankho ko koi na dekhe
Jinse lahu bah jaye
Kabhi dil ki duniya me
Aao to jane, yaha koi
Dipak jalo to jane
Kabhi dil ki duniya
Dikhate ho auro ko
Manjil bhi unki
Manjil bhi unki
Dikhate ho auro ko
Manjil bhi unki
Manjil bhi unki
Hume sirf thoda sujho jane
Hume sirf thoda sa
Kiya dil ko jis dard ne
Tukde tukde haye tukde tukde
Kiya dil ko jis dard ne
Tukde tukde haye tukde tukde
Dava uski kya hai
Bato to jane
Dava uski kya hai
Jan gaya mai jan gaya
Baba tu kya jan gaya
Jan gaya mai jan gaya
In ashko ko pachhan gaya
Sari umar ka rona dekar
Do din ka mahman gaya
Do din ka mahman gaya
Jan gaye to raham dikho
Mujhko pata us ka batlao
Ho teri mahobat kahati hai
Beta tujhko tera pyar milega
Dildar milega, hey baba
Mujhko mera pyar milega
Dam chak, dam chak
Dam chak, chak dam
Chak dam, chak dam
Chak dam, chak dam.