Nigahen Bachakar Jo Chalte Hain Mujhse Lyrics – Anuradha Paudwal, Jaswant Singh
Nigahen bachakar jo chalte hain mujhse
Nigahen bachakar jo chalte hain mujhse
Kabhi unko mujhse mohabbat huyi thi
Kabhi unko mujhse mohabbat huyi thi
Jo mehboob se ajnabi ho gaye hain
Jo mehboob se ajnabi ho gaye hain
Kabhi unko mujhse mohabbat huyi thi
Kabhi unko mujhse mohabbat huyi thi
Saheli ka ghar ka bahana bana kar
Mujhe milane aate the nazre juka ke
Chalo ek ho jaaye kehate the harpal
Mere seene se lag kar duniya bhula kar
Isi baat par haan isi baat par hi
Isi baat par haan isi baat par hi
Bahot khubsoorat shararat huyi thi
Kabhi unko mujhse mohabbat huyi thi
Kabhi unko mujhse mohabbat huyi thi
Yahan hotho par dil ke jajbe the aaye
Ye kashmir ki wadiyon ke nazare
Bhula baithe sab kuch woh hokar paraye
Main kaise bhala bhul jaaun woh pal jab
Main kaise bhala bhul jaaun woh pal jab
Mere pyaar ke haq mein kudarat huyi thi
Kabhi unko mujhse mohabbat huyi thi
Kabhi unko mujhse mohabbat huyi thi
Khaton ko chhupa kar ke darna sambhalna
Woh chori se chhupake kitaabe badalna
Yata yat kisi ka ye sab dekha lena
Woh nazare jukakar ke hatho ko malna
Kabhi dono ka raaz khul jaane par bhi
Kabhi dono ka raaz khul jaane par bhi
Na puchho kaisi kayamat huyi thi
Kabhi unko mujhse mohabbat huyi thi
Kabhi unko mujhse mohabbat huyi thi.