Nana Se Kehti Thi Nani Lyrics
Nana se kehti thi nani hamari
Ye nana se kehti thi nani hamari
Budhaape mein aayi jawaani hamari
Budhaape mein aayi jawaani hamari
Hamen hai khushi aur wo bekal the dono
Hamen hai khushi aur wo bekal the dono
Arey laila majnu pagal the dono
Arey laila majnu pagal the dono
Hai un se bhi achhi kahai hamari
Ye nana se kehti thi nani hamari
Budhaape mein aayi jawaani hamari
Badey rob se keh raha thha ye nana
Badey rob se keh raha thha ye nana
Gaya romeo juliet ka zamana
Gaya romeo juliet ka zamana
Hai un se bhi achhaa hamaara fasaana
Hai un se bhi achhaa hamaara fasaana
Jawaanon se achhi jawaani hamari
Ye nana se kehti thi nani hamari
Budhaape mein aayi jawaani hamari
Ek din ka zikar hai aji suno suno
Ek din ka zikar hai
Ki dada ji se koi puchh raha thha
Ke dada ji ab jawaani kaha hai
Wo shokh aur rangin kahai kaha hai
To dada ji has has ke kehte the sabko
To dada ji has has ke kehte the sabko
Ki laila ko majnu ki aankho se dekho
Ki laila ko majnu ki aankho se dekho
Abhi to hai chhoti se raani hamari
Abhi to hai chhoti se raani hamari
Ye nana se kehti thi nani hamari
Budhaape mein aayi jawaani hamari.