Nakhrile Lyrics – Ali Zafar, Gulzar (Sampooran Singh Kalra), Mahalakshmi Iyer, Shankar Mahadevan
Lahu luhaan hua hai falak
Yeh kaisa loha pighla hai
Ek suraj doob gaya peeche
Ek suraj saamne nikla hai
Haan
Maana waana ishq
Vishq pe zor toh nahin
Dil mein dum hai haal
Chaal kamzor to nahin
Ishq ki chaal pe
Maat manzoor hai
Arey o bandey mauqa hai
Arey o chalne
Walne ka mauqa hai
Ho ishq mein jalke
Aag hui jab mozzam hua
Haan ishq me jalke aag hui to
Nakhrile nakhrile
Nakhrile do rasheele
Humpe do nashile naino
Ki aaha bochhar ho gayi
Ho nakhrile nakhrile do rasheele
Humpe do nashile naino
Ki aaha bochhar ho gayi
O laawarishon ki na poocho
Unka sagga ek dil hai
Laawarishon ka na koi
Haan unka bada ek dil hai
Hai sajde mein
Aakhein wo uthayein
Hum uske hain to
Jalwa dikhayein
Hai sajde mein
Aakhein wo uthayein
Hum uske hain to
Jalwa dikhayein
Ho chhaliya chhal
Gaye chhal gaye
Chhal gaye wo naina
Khatm kare jo haaye
Bhasm kare jo haaye
Shaam bujhaye aur jalaye
Kat jaaye ratiya ratiyan ratiya
Chal na raakh ho jaayein
Arey o bandey mauqa hai
Arey o chalne
Walne ka mauqa hai
Ho ishq me jalke aag hui to
Nakhrile nakhrile
Nakhrile do rasheeley
Humpe do nashile
Naino ki aaha bochhar ho gayi
Dardile dardile
Qisse saare dardile
Dardile rishte saare dardile
Yeh qisse saare dardile
Ye rishte saare dardile
Afsaane saare
Hote hain dardile
Teri aankhon ki aab
O hawa mein jeeun
Teri maujoodgi ki
Fizaa mein jeeun
Teri baaton se hum
Toh badal jaate hain
Meri aankhon ke
Mausam badal jaate hain
Ho mausam sardi
Mausam garmi
Sard bhi tu hai
Garam bhi tu hai
Aag lage pyaas lage
Pyaas lage aag lage
Jal jaane de ho
Nakhrile nakhrile
Nakhrile do rasheeley
Humpe do nashiley
Naino ki aaha
Bochhar ho gayi
Haan nakhrile
Nakhrile do rashiley
Humpe do nashile
Naino ki aaha
Bochhar ho gayi.